eada-e-hikayaten
vo din jo guzre haiñ bholī bisrī hikāyateñ haiñ
ki dostoñ se na koī shikva na dushmanoñ se shikāyateñ haiñ
kuchh aisā lagtā hai jaise ab tak maiñ rail meñ thā
burā bhalā jo thā aane jaane ke khel meñ thā
shajar shajar thiiñ hiqārateñ bhī mohabbateñ bhī
shu.ūr-e-ġham ke muzāhire bhī masarrateñ bhī
jo muskurā.e the un ke hālāt muḳhtalif the
jo ġham uThā.e the un kī raat muḳhtalif thī
jo saath chalte the un kī majbūriyāñ bahut thiiñ
kuchh itne majbūr the ki apnoñ se duur the dūriyāñ bahut thiiñ
ye jitnā jo kuchh hai jaisā kuchh hai kuchh itnā dilchasp hai ki ik din
maiñ us taraf ā.ūñgā dobāra
agar mirī baat meñ huā to maiñ ḳhud ko dohrā.ūñgā dobāra
wo din jo guzre hain bholi bisri hikayaten hain
ki doston se na koi shikwa na dushmanon se shikayaten hain
kuchh aisa lagta hai jaise ab tak main rail mein tha
bura bhala jo tha aane jaane ke khel mein tha
shajar shajar thin hiqaraten bhi mohabbaten bhi
shuur-e-gham ke muzahire bhi masarraten bhi
jo muskurae the un ke haalat muKHtalif the
jo gham uThae the un ki raat muKHtalif thi
jo sath chalte the un ki majburiyan bahut thin
kuchh itne majbur the ki apnon se dur the duriyan bahut thin
ye jitna jo kuchh hai jaisa kuchh hai kuchh itna dilchasp hai ki ek din
main us taraf aaunga dobara
agar meri baat mein hua to main KHud ko dohraunga dobara
- Book : URDU-1983 (Pg. 158)
- Author : NAND KISHORE VIKRAM
- Publication : Publishers & Advertisers J-6,Krishan Nagar Delhi-110051 (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.