Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baiTha hai mere samne wo

Fahmida Riaz

baiTha hai mere samne wo

Fahmida Riaz

MORE BYFahmida Riaz

    baiThā hai mere sāmne vo

    jaane kisī soch meñ paḌā hai

    achchhī āñkheñ milī haiñ us ko

    vahshat karnā bhī aa gayā hai

    bichh jā.ūñ maiñ us ke rāste meñ

    phir bhī kyā is se fā.eda hai

    ham donoñ ye to jānte haiñ

    vo mere liye nahīñ banā hai

    mere liye us ke haath kaafī

    us ke liye saarā falsafa hai

    merī nazroñ se hai pareshāñ

    ḳhud apnī kashish se ḳhafā hai

    sab baat samajh rahā hai lekin

    gum-sum mujh ko dekhtā hai

    jaise mele meñ koī bachcha

    apnī maañ se bichhaḌ gayā hai

    us ke siine meñ chhup ke ro.uuñ

    merā dil to ye chāhtā hai

    kaisā ḳhush-rañg phuul hai vo

    jo us ke laboñ pe khil rahā hai

    rab vo mujhe kabhī na bhūle

    merī tujh se yahī duā hai

    baiTha hai mere samne wo

    jaane kisi soch mein paDa hai

    achchhi aankhen mili hain us ko

    wahshat karna bhi aa gaya hai

    bichh jaun main us ke raste mein

    phir bhi kya is se faeda hai

    hum donon hi ye to jaante hain

    wo mere liye nahin bana hai

    mere liye us ke hath kafi

    us ke liye sara falsafa hai

    meri nazron se hai pareshan

    KHud apni kashish se hi KHafa hai

    sab baat samajh raha hai lekin

    gum-sum sa mujh ko dekhta hai

    jaise mele mein koi bachcha

    apni man se bichhaD gaya hai

    us ke sine mein chhup ke roun

    mera dil to ye chahta hai

    kaisa KHush-rang phul hai wo

    jo us ke labon pe khil raha hai

    ya rab wo mujhe kabhi na bhule

    meri tujh se yahi dua hai

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    baiTha hai mere samne wo Azra Naqvi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now