hiras
tere hoñToñ pe tabassum kī vo halkī sī lakīr
mere taḳh.īl meñ rah rah ke jhalak uThtī hai
yuuñ achānak tire aariz kā ḳhayāl aatā hai
jaise zulmat meñ koī sham.a bhaḌak uThtī hai
tere pairāhan-e-rañgīñ kī junūñ-ḳhez mahak
ḳhvāb ban ban ke mire zehn meñ lahrātī hai
raat kī sard ḳhamoshī meñ har ik jhoñke se
tere anfās tire jism kī aañch aatī hai
maiñ sulagte hue rāzoñ ko ayaañ to kar duuñ
lekin un rāzoñ kī tash.hīr se jī Dartā hai
raat ke ḳhvāb ujāle meñ bayāñ to kar duuñ
un hasīñ ḳhvāboñ kī tābīr se jī Dartā hai
terī sāñsoñ kī thakan terī nigāhoñ kā sukūt
dar-haqīqat koī rañgīn sharārat hī na ho
maiñ jise pyaar kā andāz samajh baiThā huuñ
vo tabassum vo takallum tirī aadat hī na ho
sochtā huuñ ki tujhe mil ke maiñ jis soch meñ huuñ
pahle us soch kā maqsūm samajh luuñ to kahūñ
maiñ tire shahr meñ anjān huuñ pardesī huuñ
tere altāf kā mafhūm samajh luuñ to kahūñ
kahīñ aisā na ho paañv mire tharrā jaa.eñ
aur tirī marmarīñ bāñhoñ kā sahārā na mile
ashk bahte raheñ ḳhāmosh siyah rātoñ meñ
aur tire reshmī āñchal kā kinārā na mile
tere honTon pe tabassum ki wo halki si lakir
mere taKHil mein rah rah ke jhalak uThti hai
yun achanak tere aariz ka KHayal aata hai
jaise zulmat mein koi shama bhaDak uThti hai
tere pairahan-e-rangin ki junun-KHez mahak
KHwab ban ban ke mere zehn mein lahraati hai
raat ki sard KHamoshi mein har ek jhonke se
tere anfas tere jism ki aanch aati hai
main sulagte hue raazon ko ayan to kar dun
lekin un raazon ki tashhir se ji Darta hai
raat ke KHwab ujale mein bayan to kar dun
un hasin KHwabon ki tabir se ji Darta hai
teri sanson ki thakan teri nigahon ka sukut
dar-haqiqat koi rangin shararat hi na ho
main jise pyar ka andaz samajh baiTha hun
wo tabassum wo takallum teri aadat hi na ho
sochta hun ki tujhe mil ke main jis soch mein hun
pahle us soch ka maqsum samajh lun to kahun
main tere shahr mein anjaan hun pardesi hun
tere altaf ka mafhum samajh lun to kahun
kahin aisa na ho panw mere tharra jaen
aur teri marmarin banhon ka sahaara na mile
ashk bahte rahen KHamosh siyah raaton mein
aur tere reshmi aanchal ka kinara na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.