huā ḳhema-zan kārvān-e-bahār
iram ban gayā dāman-e-koh-sār
gul o nargis o sosan o nastaran
shahīd-e-azal lāla-ḳhūnīñ kafan
jahāñ chhup gayā parda-e-rañg meñ
lahū kī hai gardish rag-e-sang meñ
fazā niilī niilī havā meñ surūr
Thaharte nahīñ āshiyāñ meñ tuyūr
vo jū-e-kohistāñ uchaktī huī
aTaktī lachaktī saraktī huī
uchhaltī phisaltī sambhaltī huī
baḌe pech khā kar nikaltī huī
ruke jab to sil chiir detī hai ye
pahāḌoñ ke dil chiir detī hai ye
zarā dekh ai sāqī-e-lāla-fām
sunātī hai ye zindagī kā payām
pilā de mujhe vo mai-e-parda-soz
ki aatī nahīñ fasl-e-gul roz roz
vo mai jis se raushan zamīr-e-hayāt
vo mai jis se hai masti-e-kā.enāt
vo mai jis meñ hai soz-o-sāz-e-azal
vo mai jis se khultā hai rāz-e-azal
uThā sāqiyā parda is raaz se
laḌā de mamūle ko shahbāz se
zamāne ke andāz badle ga.e
nayā raag hai saaz badle ga.e
huā is tarah faash rāz-e-farañg
ki hairat meñ hai shīsha-bāz-e-farañg
purānī siyāsat-garī ḳhvār hai
zamīñ miir o sultāñ se be-zār hai
gayā daur-e-sarmāya-dārī gayā
tamāshā dikhā kar madārī gayā
girāñ ḳhvāb chīnī sambhalne lage
himāla ke chashme ubalne lage
dil-e-tūr-e-sīnā-o-fārān do-nīm
tajallī kā phir muntazir hai kalīm
musalmāñ hai tauhīd meñ garam-josh
magar dil abhī tak hai zunnār-posh
tamaddun tasavvuf sharī.at-e-kalām
butān-e-ajam ke pujārī tamām
haqīqat ḳhurāfāt meñ kho ga.ī
ye ummat rivāyāt meñ kho ga.ī
lubhātā hai dil ko kalām-e-ḳhatīb
magar lazzat-e-shauq se be-nasīb
bayāñ is kā mantiq se suljhā huā
luġhat ke bakheḌoñ meñ uljhā huā
vo suufī ki thā ḳhidmat-e-haq meñ mard
mohabbat meñ yaktā hamīyat meñ fard
ajam ke ḳhayālāt meñ kho gayā
ye sālik maqāmāt meñ kho gayā
bujhī ishq kī aag andher hai
musalmāñ nahīñ raakh kā Dher hai
sharāb-e-kuhan phir pilā sāqiyā
vahī jaam gardish meñ lā sāqiyā
mujhe ishq ke par lagā kar uḌā
mirī ḳhaak jugnū banā kar uḌā
ḳhirad ko ġhulāmī se āzād kar
javānoñ ko pīroñ kā ustād kar
harī shāḳh-e-millat tire nam se hai
nafas is badan meñ tire dam se hai
taḌapne phaḌakne kī taufīq de
dil-e-murtazā soz-e-siddīq de
jigar se vahī tiir phir paar kar
tamannā ko sīnoñ meñ bedār kar
tire āsmānoñ ke tāroñ kī ḳhair
zamīnoñ ke shab zinda-dāroñ kī ḳhair
javānoñ ko soz-e-jigar baḳhsh de
mirā ishq merī nazar baḳhsh de
mirī naav girdāb se paar kar
ye sābit hai to is ko sayyār kar
btā mujh ko asrār-e-marg-o-hayāt
ki terī nigāhoñ meñ hai kā.enāt
mire dīda-e-tar kī be-ḳhvābiyāñ
mire dil kī poshīda betābiyāñ
mire nāla-e-nīm-shab kā niyāz
mirī ḳhalvat o anjuman kā gudāz
umañgeñ mirī ārzūeñ mirī
ummīdeñ mirī justujueñ mirī
mirī fitrat ā.īna-e-rozgār
ġhazālān-e-afkār kā murġh-zār
mirā dil mirī razm-gāh-e-hayāt
gumānoñ ke lashkar yaqīñ kā sabāt
yahī kuchh hai saaqī matā-e-faqīr
isī se faqīrī meñ huuñ maiñ amiir
mire qāfile meñ luTā de ise
luTā de Thikāne lagā de ise
damā-dam ravāñ hai yam-e-zindagī
har ik shai se paidā ram-e-zindagī
isī se huī hai badan kī numūd
ki sho'le meñ poshīda hai mauj-e-dūd
girāñ garche hai sohbat-e-āb-o-gil
ḳhush aa.ī ise mehnat-e-āb-o-gil
ye sābit bhī hai aur sayyār bhī
anāsir ke phandoñ se be-zār bhī
ye vahdat hai kasrat meñ har dam asiir
magar har kahīñ be-chugoñ be-nazīr
ye aalam ye but-ḳhāna-e-shash-jihāt
isī ne tarāshā hai ye somnāt
pasand is ko takrār kī ḳhū nahīñ
ki tū maiñ nahīñ aur maiñ tū nahīñ
man o tū se hai anjuman-āfrīñ
magar ain-e-mahfil meñ ḳhalvat-nashīñ
chamak us kī bijlī meñ taare meñ hai
ye chāñdī meñ sone meñ paare meñ hai
usī ke bayābāñ usī ke babūl
usī ke haiñ kāñTe usī ke haiñ phuul
kahīñ us kī tāqat se kohsār chuur
kahīñ us ke phande meñ jibra.īl o huur
kahīñ jaza hai shāhīn sīmāb rañg
lahū se chakoroñ ke ālūda chang
kabūtar kahīñ āshiyāne se duur
phaḌaktā huā jaal meñ nā-subūr
fareb-e-nazar hai sukūn o sabāt
taḌaptā hai har zarra-e-kā.enāt
Thahartā nahīñ kārvān-e-vajūd
ki har lahz hai taaza shān-e-vajūd
samajhtā hai tū raaz hai zindagī
faqat zauq-e-parvāz hai zindagī
bahut us ne dekhe haiñ past o buland
safar us ko manzil se baḌh kar pasand
safar zindagī ke liye barg o saaz
safar hai haqīqat hazar hai majāz
ulajh kar sulajhne meñ lazzat use
taḌapne phaḌakne meñ rāhat use
huā jab use sāmnā maut kā
kaThin thā baḌā thāmnā maut kā
utar kar jahān-e-makāfāt meñ
rahī zindagī maut kī ghaat meñ
mazāq-e-duī se banī zauj zauj
uThī dasht o kohsār se fauj fauj
gul is shāḳh se TūTte bhī rahe
isī shāḳh se phūTte bhī rahe
samajhte haiñ nādāñ use be-sabāt
ubhartā hai miT miT ke naqsh-e-hayāt
baḌī tez jaulāñ baḌī zūd-ras
azal se abad tak ram-e-yak-nafs
zamāna ki zanjīr-e-ayyām hai
damoñ ke ulaT-pher kā naam hai
ye mauj-e-nafs kyā hai talvār hai
ḳhudī kyā hai talvār kī dhaar hai
ḳhudī kyā hai rāz-darūn-hayāt
ḳhudī kyā hai bedāri-e-kā.enāt
ḳhudī jalva badmast o ḳhalvat-pasand
samundar hai ik buuñd paanī meñ band
añdhere ujāle meñ hai tābnāk
man o tū meñ paidā man o tū se paak
azal us ke pīchhe abad sāmne
na had us ke pīchhe na had sāmne
zamāne ke dariyā meñ bahtī huī
sitam us kī maujoñ ke sahtī huī
tajassus kī rāheñ badaltī huī
damā-dam nigāheñ badaltī huī
subuk us ke hāthoñ meñ sañg-e-girāñ
pahāḌ us kī zarboñ se reg-e-ravāñ
safar us kā anjām o āġhāz hai
yahī us kī taqvīm kā raaz hai
kiran chāñd meñ hai sharar sañg meñ
ye be-rañg hai Duub kar rañg meñ
ise vāsta kyā kam-o-besh se
nasheb o farāz o pas-o-pesh se
azal se hai ye kashmakash meñ asiir
huī ḳhāk-e-ādam meñ sūrat-pazīr
ḳhudī kā nasheman tire dil meñ hai
falak jis tarah aañkh ke til meñ hai
ḳhudī ke nigahbāñ ko hai zahr-nāb
vo naañ jis se jaatī rahe us kī aab
vahī naañ hai us ke liye arjumand
rahe jis se duniyā meñ gardan buland
ḳhudī fāl-e-mahmūd se darguzar
ḳhudī par nigah rakh ayāzī na kar
vahī sajda hai lā.iq-e-ehtimām
ki ho jis se har sajda tujh par harām
ye aalam ye hañgāma-e-rañg-o-saut
ye aalam ki hai zer-e-farmān-e-maut
ye aalam ye but-ḳhāna-e-chashm-o-gosh
jahāñ zindagī hai faqat ḳhurd o nosh
ḳhudī kī ye hai manzil-e-avvalīñ
musāfir ye terā nasheman nahīñ
tirī aag is ḳhāk-dāñ se nahīñ
jahāñ tujh se hai tū jahāñ se nahīñ
baḌhe jā ye koh-e-girāñ toḌ kar
tilism-e-zamān-o-makāñ toḌ kar
ḳhudī sher-e-maulā jahāñ us kā said
zamīñ us kī said āsmāñ us kā said
jahāñ aur bhī haiñ abhī be-numūd
ki ḳhālī nahīñ hai zamīr-e-vajūd
har ik muntazir terī yalġhār kā
tirī shauḳhi-e-fikr-o-kirdār kā
ye hai maqsad gardish-e-rozgār
ki terī ḳhudī tujh pe ho āshkār
tū hai fātah-e-ālam-e-ḳhūb-o-zisht
tujhe kyā batā.ūñ tirī sarnavisht
haqīqat pe hai jāma-e-harf-e-tañg
haqīqat hai ā.īna-e-guftār-e-zañg
farozāñ hai siine meñ sham-e-nafas
magar tāb-e-guftār rakhtī hai bas
agar yak-sar-e-mū-e-bartar param
faroġh-e-tajallī ba-sozad param
hua KHema-zan karwan-e-bahaar
iram ban gaya daman-e-koh-sar
gul o nargis o sosan o nastaran
shahid-e-azal lala-KHunin kafan
jahan chhup gaya parda-e-rang mein
lahu ki hai gardish rag-e-sang mein
faza nili nili hawa mein surur
Thaharte nahin aashiyan mein tuyur
wo ju-e-kohistan uchakti hui
aTakti lachakti sarakti hui
uchhalti phisalti sambhalti hui
baDe pech kha kar nikalti hui
ruke jab to sil chir deti hai ye
pahaDon ke dil chir deti hai ye
zara dekh ai saqi-e-lala-fam
sunati hai ye zindagi ka payam
pila de mujhe wo mai-e-parda-soz
ki aati nahin fasl-e-gul roz roz
wo mai jis se raushan zamir-e-hayat
wo mai jis se hai masti-e-kaenat
wo mai jis mein hai soz-o-saz-e-azal
wo mai jis se khulta hai raaz-e-azal
uTha saqiya parda is raaz se
laDa de mamule ko shahbaz se
zamane ke andaz badle gae
naya rag hai saz badle gae
hua is tarah fash raaz-e-farang
ki hairat mein hai shisha-baz-e-farang
purani siyasat-gari KHwar hai
zamin mir o sultan se be-zar hai
gaya daur-e-sarmaya-dari gaya
tamasha dikha kar madari gaya
giran KHwab chini sambhalne lage
himala ke chashme ubalne lage
dil-e-tur-e-sina-o-faran do-nim
tajalli ka phir muntazir hai kalim
musalman hai tauhid mein garam-josh
magar dil abhi tak hai zunnar-posh
tamaddun tasawwuf shariat-e-kalam
butan-e-ajam ke pujari tamam
haqiqat KHurafat mein kho gai
ye ummat riwayat mein kho gai
lubhata hai dil ko kalam-e-KHatib
magar lazzat-e-shauq se be-nasib
bayan is ka mantiq se suljha hua
lughat ke bakheDon mein uljha hua
wo sufi ki tha KHidmat-e-haq mein mard
mohabbat mein yakta hamiyat mein fard
ajam ke KHayalat mein kho gaya
ye salik maqamat mein kho gaya
bujhi ishq ki aag andher hai
musalman nahin rakh ka Dher hai
sharab-e-kuhan phir pila saqiya
wahi jam gardish mein la saqiya
mujhe ishq ke par laga kar uDa
meri KHak jugnu bana kar uDa
KHirad ko ghulami se aazad kar
jawanon ko piron ka ustad kar
hari shaKH-e-millat tere nam se hai
nafas is badan mein tere dam se hai
taDapne phaDakne ki taufiq de
dil-e-murtaza soz-e-siddiq de
jigar se wahi tir phir par kar
tamanna ko sinon mein bedar kar
tere aasmanon ke taron ki KHair
zaminon ke shab zinda-daron ki KHair
jawanon ko soz-e-jigar baKHsh de
mera ishq meri nazar baKHsh de
meri naw girdab se par kar
ye sabit hai to is ko sayyar kar
bta mujh ko asrar-e-marg-o-hayat
ki teri nigahon mein hai kaenat
mere dida-e-tar ki be-KHwabiyan
mere dil ki poshida betabiyan
mere nala-e-nim-shab ka niyaz
meri KHalwat o anjuman ka gudaz
umangen meri aarzuen meri
ummiden meri justujuen meri
meri fitrat aaina-e-rozgar
ghazalan-e-afkar ka murgh-zar
mera dil meri razm-gah-e-hayat
gumanon ke lashkar yaqin ka sabaat
yahi kuchh hai saqi mata-e-faqir
isi se faqiri mein hun main amir
mere qafile mein luTa de ise
luTa de Thikane laga de ise
dama-dam rawan hai yam-e-zindagi
har ek shai se paida ram-e-zindagi
isi se hui hai badan ki numud
ki sho'le mein poshida hai mauj-e-dud
giran garche hai sohbat-e-ab-o-gil
KHush aai ise mehnat-e-ab-o-gil
ye sabit bhi hai aur sayyar bhi
anasir ke phandon se be-zar bhi
ye wahdat hai kasrat mein har dam asir
magar har kahin be-chugon be-nazir
ye aalam ye but-KHana-e-shash-jihat
isi ne tarasha hai ye somnat
pasand is ko takrar ki KHu nahin
ki tu main nahin aur main tu nahin
man o tu se hai anjuman-afrin
magar ain-e-mahfil mein KHalwat-nashin
chamak us ki bijli mein tare mein hai
ye chandi mein sone mein pare mein hai
usi ke bayaban usi ke babul
usi ke hain kanTe usi ke hain phul
kahin us ki taqat se kohsar chur
kahin us ke phande mein jibrail o hur
kahin jaza hai shahin simab rang
lahu se chakoron ke aaluda chang
kabutar kahin aashiyane se dur
phaDakta hua jal mein na-subur
fareb-e-nazar hai sukun o sabaat
taDapta hai har zarra-e-kaenat
Thaharta nahin karwan-e-wajud
ki har lahz hai taza shan-e-wajud
samajhta hai tu raaz hai zindagi
faqat zauq-e-parwaz hai zindagi
bahut us ne dekhe hain past o buland
safar us ko manzil se baDh kar pasand
safar zindagi ke liye barg o saz
safar hai haqiqat hazar hai majaz
ulajh kar sulajhne mein lazzat use
taDapne phaDakne mein rahat use
hua jab use samna maut ka
kaThin tha baDa thamna maut ka
utar kar jahan-e-makafat mein
rahi zindagi maut ki ghat mein
mazaq-e-dui se bani zauj zauj
uThi dasht o kohsar se fauj fauj
gul is shaKH se TuTte bhi rahe
isi shaKH se phuTte bhi rahe
samajhte hain nadan use be-sabaat
ubharta hai miT miT ke naqsh-e-hayat
baDi tez jaulan baDi zud-ras
azal se abad tak ram-e-yak-nafs
zamana ki zanjir-e-ayyam hai
damon ke ulaT-pher ka nam hai
ye mauj-e-nafs kya hai talwar hai
KHudi kya hai talwar ki dhaar hai
KHudi kya hai raaz-darun-hayat
KHudi kya hai bedari-e-kaenat
KHudi jalwa badmast o KHalwat-pasand
samundar hai ek bund pani mein band
andhere ujale mein hai tabnak
man o tu mein paida man o tu se pak
azal us ke pichhe abad samne
na had us ke pichhe na had samne
zamane ke dariya mein bahti hui
sitam us ki maujon ke sahti hui
tajassus ki rahen badalti hui
dama-dam nigahen badalti hui
subuk us ke hathon mein sang-e-giran
pahaD us ki zarbon se reg-e-rawan
safar us ka anjam o aaghaz hai
yahi us ki taqwim ka raaz hai
kiran chand mein hai sharar sang mein
ye be-rang hai Dub kar rang mein
ise wasta kya kam-o-besh se
nasheb o faraaz o pas-o-pesh se
azal se hai ye kashmakash mein asir
hui KHak-e-adam mein surat-pazir
KHudi ka nasheman tere dil mein hai
falak jis tarah aankh ke til mein hai
KHudi ke nigahban ko hai zahr-nab
wo nan jis se jati rahe us ki aab
wahi nan hai us ke liye arjumand
rahe jis se duniya mein gardan buland
KHudi fal-e-mahmud se darguzar
KHudi par nigah rakh ayazi na kar
wahi sajda hai laiq-e-ehtimam
ki ho jis se har sajda tujh par haram
ye aalam ye hangama-e-rang-o-saut
ye aalam ki hai zer-e-farman-e-maut
ye aalam ye but-KHana-e-chashm-o-gosh
jahan zindagi hai faqat KHurd o nosh
KHudi ki ye hai manzil-e-awwalin
musafir ye tera nasheman nahin
teri aag is KHak-dan se nahin
jahan tujh se hai tu jahan se nahin
baDhe ja ye koh-e-giran toD kar
tilism-e-zaman-o-makan toD kar
KHudi sher-e-maula jahan us ka said
zamin us ki said aasman us ka said
jahan aur bhi hain abhi be-numud
ki KHali nahin hai zamir-e-wajud
har ek muntazir teri yalghaar ka
teri shauKHi-e-fikr-o-kirdar ka
ye hai maqsad gardish-e-rozgar
ki teri KHudi tujh pe ho aashkar
tu hai fatah-e-alam-e-KHub-o-zisht
tujhe kya bataun teri sarnawisht
haqiqat pe hai jama-e-harf-e-tang
haqiqat hai aaina-e-guftar-e-zang
farozan hai sine mein sham-e-nafas
magar tab-e-guftar rakhti hai bas
agar yak-sar-e-mu-e-bartar param
farogh-e-tajalli ba-sozad param
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.