lahu mein utarta hua mausam
havāoñ kī barfāb sī uñgliyāñ
kah rahī haiñ
kahīñ paas hī
mūslā-dhār bārish huī hai
pahāḌoñ kī dāman meñ shāyad
ga.ī raat ko barf girtī rahī hai
lahū meñ utartā huā
dūsrā ek lamha
kahīñ kuchh nahīñ
kuchh bhī badlā nahīñ hai
na mausam na garmī havā kī
faqat mere ehsās kī yaḳh-bastagī
chupke chupke
mere ḳhuun ko munjamid kar rahī hai
mere jism meñ
kapkapī bhar rahī hai
hawaon ki barfab si ungliyan
kah rahi hain
kahin pas hi
musla-dhaar barish hui hai
pahaDon ki daman mein shayad
gai raat ko barf girti rahi hai
lahu mein utarta hua
dusra ek lamha
kahin kuchh nahin
kuchh bhi badla nahin hai
na mausam na garmi hawa ki
faqat mere ehsas ki yaKH-bastagi
chupke chupke
mere KHun ko munjamid kar rahi hai
mere jism mein
kapkapi bhar rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.