ehsas-e-bahaar
vo bulbul
jo ḳhizāñ-rut meñ
mire ghar ke qarīb
ik peḌ kī Tahnī pe tanhā baiTh kar mujh ko
malāl-o-yās ke naġhme sunātā thā
ḳhushī se aaj pāgal ho rahā hai
sub.h se kaif-o-masarrat ke tarāne gā rahā hai
aur
mire barāmde meñ baar baar aa kar
mujhe uksā rahā hai
apne bistar se uTho
kamre se bāhar kā samāñ dekho
bahār aa.ī hai
dekho har taraf sabza hī sabza hai
gul-o-lāla se dhartī saj ga.ī hai
aur
parinde chahchahāte giit gaate jashn karte phir rahe haiñ
āsmāñ qaus-e-quzah ke saat rangoñ aur patangoñ se muzayyan hai
nazāra karne vāloñ ke liye har samt jannat hai
magar vo bulbul-e-sāda ye kyā jaane
ki jab tak vo gulābī-rū
saped-o-surḳh meñ malbūs vo paikar
vo merī ham-suḳhan ham-rūh jān-e-jāñ
na mere rū-ba-rū hogī
mirā ye dil ki jis par
is samay pazhmurdagī ke gahre saa.e haiñ
ise ehsās-e-fasl-e-gul nahīñ hogā
wo bulbul
jo KHizan-rut mein
mere ghar ke qarib
ek peD ki Tahni pe tanha baiTh kar mujh ko
malal-o-yas ke naghme sunata tha
KHushi se aaj pagal ho raha hai
subh se kaif-o-masarrat ke tarane ga raha hai
aur
mere baramde mein bar bar aa kar
mujhe uksa raha hai
apne bistar se uTho
kamre se bahar ka saman dekho
bahaar aai hai
dekho har taraf sabza hi sabza hai
gul-o-lala se dharti saj gai hai
aur
parinde chahchahate git gate jashn karte phir rahe hain
aasman qaus-e-quzah ke sat rangon aur patangon se muzayyan hai
nazara karne walon ke liye har samt jannat hai
magar wo bulbul-e-sada ye kya jaane
ki jab tak wo gulabi-ru
saped-o-surKH mein malbus wo paikar
wo meri ham-suKHan ham-ruh jaan-e-jaan
na mere ru-ba-ru hogi
mera ye dil ki jis par
is samay pazhmurdagi ke gahre sae hain
ise ehsas-e-fasl-e-gul nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.