ehsas-e-fana
rah-e-manzil meñ ham dushvāriyoñ kā ġham nahīñ karte
guzar jaate haiñ hañs kar fikr-e-pech-o-ḳham nahīñ karte
uḌāte ho hañsī vāraftagān-e-kū-e-vahshat kī
ḳhirad-mando tumheñ to ham sharīk-e-ġham nahīñ karte
jamāl-e-quds kī qurbat bhī kitnī rūh-parvar hai
ki is manzil meñ ahl-e-dil fanā kā ġham nahīñ karte
rah-e-manzil meñ ehsās-e-fanā āġhāz-e-manzil hai
ayaañ har bul-havas par rāz-e-kaif-o-kam nahīñ karte
kabhī aflāk kī rif.at kabhī hai ḳhaak kī pastī
gila phir bhī tirā ai gardish-e-paiham nahīñ karte
'munīr' īsār par apne hai tārīḳh-e-junūñ nāzāñ
matā-e-zindagī luTne kā ham mātam nahīñ karte
rah-e-manzil mein hum dushwariyon ka gham nahin karte
guzar jate hain hans kar fikr-e-pech-o-KHam nahin karte
uDate ho hansi waraftagan-e-ku-e-wahshat ki
KHirad-mando tumhein to hum sharik-e-gham nahin karte
jamal-e-quds ki qurbat bhi kitni ruh-parwar hai
ki is manzil mein ahl-e-dil fana ka gham nahin karte
rah-e-manzil mein ehsas-e-fana aaghaz-e-manzil hai
ayan har bul-hawas par raaz-e-kaif-o-kam nahin karte
kabhi aflak ki rifat kabhi hai KHak ki pasti
gila phir bhi tera ai gardish-e-paiham nahin karte
'munir' isar par apne hai tariKH-e-junun nazan
mata-e-zindagi luTne ka hum matam nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.