ehsas
merī āñkhoñ meñ hai be-ḳhvābī ke nashtar chubhan
har taraf tīra-shabī, har taraf ek ghuTan
koī sho.ala na kiran
sard hone ko hai dil kī dhaḌkan
tak rahī hai mujhe kis hasrat se
mere bistar kī har ik dard se bharpūr shikan
Das na le dil ko ye tanhā.ī ke ehsās kī kaalī nāgan
ai mire ḳhvāb kī dil-kash pariyo
gungunātī huī zulfoñ kī ghaTā
surḳh ruḳhsār
damakte hue lab
nashsha-e-chashm-e-fusūñ-sāz liye
marmarīñ jism liye
sho.ala-e-āvāz liye
aa sako aaj agar aa jaao
merī tanhā.ī ko chamkā jaao
sard hai ātish-e-dil
apne āñchal kī havā se use dahkā jaao!
meri aankhon mein hai be-KHwabi ke nashtar chubhan
har taraf tira-shabi, har taraf ek ghuTan
koi shoala na kiran
sard hone ko hai dil ki dhaDkan
tak rahi hai mujhe kis hasrat se
mere bistar ki har ek dard se bharpur shikan
Das na le dil ko ye tanhai ke ehsas ki kali nagan
ai mere KHwab ki dil-kash pariyo
gungunati hui zulfon ki ghaTa
surKH ruKHsar
damakte hue lab
nashsha-e-chashm-e-fusun-saz liye
marmarin jism liye
shoala-e-awaz liye
aa sako aaj agar aa jao
meri tanhai ko chamka jao
sard hai aatish-e-dil
apne aanchal ki hawa se use dahka jao!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.