ehsas ki raat
mujhe Dar hai ki kahīñ sard na ho jaa.e ye ehsās kī raat
narġhe tūfān-e-havādis ke havas kī yalġhār
ye dhamāke ye bagūle sar-e-rāh
jism kā jaan kā paimān-e-vafā kyā hogā
terā kyā hogā mire tār-e-nafas
terā kyā hogā ai mizrāb-e-junūñ
ye dahakte hue ruḳhsār
ye mahakte hue lab
ye dhaḌaktā huā dil
shafaq-e-zīst kī peshānī kā rañgīñ qashqa
kyā hogā
uḌ na jaa.e kahīñ ye rañg-e-jabīñ
miT na jaa.e kahīñ ye naqsh-e-vafā
chup na ho jaa.e ye bajtā huā saaz
sham.eñ ab kaun jalā.egā sar-e-shām guzargāhoñ meñ
dahr meñ lutf-o-atā kuchh bhī nahīñ
dahr meñ mehr-o-vafā kuchh bhī nahīñ
sajda kuchh bhī nahīñ naqsh-e-pā kuchh bhī nahīñ
mere dil aur dhaḌak
shāḳh-e-gul
aur mahak aur mahak aur mahak
mujhe Dar hai ki kahin sard na ho jae ye ehsas ki raat
narghe tufan-e-hawadis ke hawas ki yalghaar
ye dhamake ye bagule sar-e-rah
jism ka jaan ka paiman-e-wafa kya hoga
tera kya hoga mere tar-e-nafas
tera kya hoga ai mizrab-e-junun
ye dahakte hue ruKHsar
ye mahakte hue lab
ye dhaDakta hua dil
shafaq-e-zist ki peshani ka rangin qashqa
kya hoga
uD na jae kahin ye rang-e-jabin
miT na jae kahin ye naqsh-e-wafa
chup na ho jae ye bajta hua saz
shamen ab kaun jalaega sar-e-sham guzargahon mein
dahr mein lutf-o-ata kuchh bhi nahin
dahr mein mehr-o-wafa kuchh bhi nahin
sajda kuchh bhi nahin naqsh-e-pa kuchh bhi nahin
mere dil aur dhaDak
shaKH-e-gul
aur mahak aur mahak aur mahak
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 205)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.