ehsas ki zaban
tumhāre paas maiñ aaya thā aaj sahme hue
mujhe ye ḳhauf thā tum mujh se bad-gumāñ to nahīñ
magar tumhārī nazar ko thā intizār-e-shadīd
na jaane kab se nigāheñ bichhā.e baiThī thiiñ
mujhe bulāyā biThāyā bahut sī bāteñ kiiñ
tumhāre narm shagufta gulāb jaise lab
kuchh is adā se khule jaise ik kañval taaza
tumhāre āriz-o-ruḳhsār the tar-o-tāza
tumhāre lahje meñ ik dard thā tarannum thā
tumhārī bātoñ meñ amrit bhī thā hayāt-afzā
tumhāre hoñToñ se phūloñ kā ras Tapaktā thā
tumhārī zulf-e-pareshāñ bhī bā-salīqa thī
tumhārī surmagīñ āñkhoñ meñ diip jalne lage
ka.ī charāġh ba-nām-e-vafā sulagne lage
vo baat jo mire ehsās kī zabāñ thī kabhī
tumhāre sāmne vo baat maiñ ne kah dī hai
ye is liye ki maiñ apnā samajh ke kahtā huuñ
vagarna dil meñ bahut se haiñ zaḳhm poshīda
magar tumheñ na karūñgā kabhī maiñ ranjīda
tumhaare pas main aaya tha aaj sahme hue
mujhe ye KHauf tha tum mujh se bad-guman to nahin
magar tumhaari nazar ko tha intizar-e-shadid
na jaane kab se nigahen bichhae baiThi thin
mujhe bulaya biThaya bahut si baaten kin
tumhaare narm shagufta gulab jaise lab
kuchh is ada se khule jaise ek kanwal taza
tumhaare aariz-o-ruKHsar the tar-o-taza
tumhaare lahje mein ek dard tha tarannum tha
tumhaari baaton mein amrit bhi tha hayat-afza
tumhaare honTon se phulon ka ras Tapakta tha
tumhaari zulf-e-pareshan bhi ba-saliqa thi
tumhaari surmagin aankhon mein dip jalne lage
kai charagh ba-nam-e-wafa sulagne lage
wo baat jo mere ehsas ki zaban thi kabhi
tumhaare samne wo baat main ne kah di hai
ye is liye ki main apna samajh ke kahta hun
wagarna dil mein bahut se hain zaKHm poshida
magar tumhein na karunga kabhi main ranjida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.