ehsas
lafz
kuchh hī sahī
ik alāmat hai tafhīm kī
fahm
hiss-e-tahaffuz kā ik ā.īna
aur gul-kārī-e-aks ke vāste
ruuh kaafī nahīñ
jism bhī chāhiye
paikariyyat vahī hai jo bāñdhe nazar
jin kī vīrāniyāñ muntazir haiñ mirī
raushnī ek parda hai jin ke liye
ḳhuun kī chipchipāhaT liye
un zamīnoñ talak maiñ na pahuñchā agar
sab kī sab rā.egāñ jā.eñgī
kis qadar
tohmateñ mere sar ā.eñgī
lafz
kuchh hi sahi
ek alamat hai tafhim ki
fahm
hiss-e-tahaffuz ka ek aaina
aur gul-kari-e-aks ke waste
ruh kafi nahin
jism bhi chahiye
paikariyyat wahi hai jo bandhe nazar
jin ki viraniyan muntazir hain meri
raushni ek parda hai jin ke liye
KHun ki chipchipahaT liye
un zaminon talak main na pahuncha agar
sab ki sab raegan jaengi
kis qadar
tohmaten mere sar aaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.