ehsas
maiñ to shā.ir huuñ
bas tire husn ko ehsās banā rakkhā hai
varna mujh meñ mire kirdār meñ kyā rakkhā hai
rū-e-nāhīd kahūñ zohra-jabīñ kah Dālūñ
apne naġhmāt se nazmoñ se hasīñ kah Dālūñ
bar-zamīñ paikar-e-firdaus-e-barīñ kah Dālūñ
haram-e-dil meñ sanam-ḳhāna sajā rakkhā hai
tujh pe ḳhvāboñ ko ḳhayāloñ ko nichhāvar kar duuñ
tujhe shab-gīr banā duuñ sahar-āvar kar duuñ
dosh-e-mahtāb pe rakh duuñ sar-e-ḳhāvar kar duuñ
āgahī meñ tirā pindār chhupā rakkhā hai
tujh ko tamsīl kī tashbīh kī azmat bolūñ
ruuh kī tamkanat idrāk kī naḳhvat bolūñ
tujh ko afsāna kahūñ tujh ko haqīqat bolūñ
apnī duniyā ko zamāne se judā rakkhā hai
tujh pe qurbān arab aur ajam sadqe karūñ
tujh pe nāqūs-o-azāñ dair-o-haram sadqe karūñ
sabr kā vāsta e.ajāz kā dam sadqe karūñ
soz aur saaz ko siine meñ dabā rakkhā hai
tujh ko maslak kahūñ īmān kahūñ diin kahūñ
dil kahūñ jaan kahūñ zaat kī taskīn kahūñ
jo duā tere liye ho use āmīn kahūñ
fikr ko nāma-e-a.amāl pe lā rakkhā hai
varna mujh meñ mire kirdār meñ kyā rakkhā hai
bas tire husn ko ehsās banā rakkhā hai
main to shair hun
bas tere husn ko ehsas bana rakkha hai
warna mujh mein mere kirdar mein kya rakkha hai
ru-e-nahid kahun zohra-jabin kah Dalun
apne naghmat se nazmon se hasin kah Dalun
bar-zamin paikar-e-firdaus-e-barin kah Dalun
haram-e-dil mein sanam-KHana saja rakkha hai
tujh pe KHwabon ko KHayalon ko nichhawar kar dun
tujhe shab-gir bana dun sahar-awar kar dun
dosh-e-mahtab pe rakh dun sar-e-KHawar kar dun
aagahi mein tera pindar chhupa rakkha hai
tujh ko tamsil ki tashbih ki azmat bolun
ruh ki tamkanat idrak ki naKHwat bolun
tujh ko afsana kahun tujh ko haqiqat bolun
apni duniya ko zamane se juda rakkha hai
tujh pe qurban arab aur ajam sadqe karun
tujh pe naqus-o-azan dair-o-haram sadqe karun
sabr ka wasta eajaz ka dam sadqe karun
soz aur saz ko sine mein daba rakkha hai
tujh ko maslak kahun iman kahun din kahun
dil kahun jaan kahun zat ki taskin kahun
jo dua tere liye ho use aamin kahun
fikr ko nama-e-amal pe la rakkha hai
warna mujh mein mere kirdar mein kya rakkha hai
bas tere husn ko ehsas bana rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.