us lams kā koī naam to ho jo tujh ko soch ke jagtā hai
jo tere zikr ke aate hī rag rag meñ dauḌne lagtā hai
kyuuñ tere naam ko sunte hī mirī saañs mahakne lagtī hai
ehsās nashe meñ hotā hai har fikr bahakne lagtī hai
ik nādīda ehsās mirī poroñ meñ ghulne lagtā hai
ik band darīcha hasrat kā ḳhvāboñ meñ khulne lagtā hai
jab chāñd nikal kar bādal se āñkhoñ meñ sapnā botā hai
ik ḳhvāhish kī tanhā.ī se bedār junūñ jab hotā hai
jab dasht-e-talab meñ pyaas mirī āñkhoñ ko nigalne lagtī hai
jab aas umiid kī duniyā meñ ik shaam sī Dhalne lagtī hai
jis vaqt ġhamoñ kī vahshat kā ik saaya mujh par jhuktā hai
us vaqt tirā ehsās mire pahlū meñ aa kar ruktā hai
aur us ehsās ke chhūte hī maiñ tābinda ho jaatī huuñ
mirī sāñseñ chalne lagtī haiñ phir se zinda ho jaatī huuñ
us lams ka koi nam to ho jo tujh ko soch ke jagta hai
jo tere zikr ke aate hi rag rag mein dauDne lagta hai
kyun tere nam ko sunte hi meri sans mahakne lagti hai
ehsas nashe mein hota hai har fikr bahakne lagti hai
ek nadida ehsas meri poron mein ghulne lagta hai
ek band daricha hasrat ka KHwabon mein khulne lagta hai
jab chand nikal kar baadal se aankhon mein sapna bota hai
ek KHwahish ki tanhai se bedar junun jab hota hai
jab dasht-e-talab mein pyas meri aankhon ko nigalne lagti hai
jab aas umid ki duniya mein ek sham si Dhalne lagti hai
jis waqt ghamon ki wahshat ka ek saya mujh par jhukta hai
us waqt tera ehsas mere pahlu mein aa kar rukta hai
aur us ehsas ke chhute hi main tabinda ho jati hun
meri sansen chalne lagti hain phir se zinda ho jati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.