ehsas
tum mujhe paane ke
chāhe jitne jatan kar lo
tum bā-vafā ba-ma.anī ho
maiñ to ik lafz-e-be-ma.anī
apne aap se kab milā huuñ
jo tum se mil luuñ
tumheñ pā luuñ
ye aur baat ki
mere taḳhayyul kī asaas tū
ā.īna tū ā.īna-gar bhī tū
razā bhī tū qazā bhī tū
ridā bhī tū adā bhī tū
sazā bhī tū jazā bhī tū
ḳhudī bhī tū ḳhudā bhī tū
lekin na jaane kyā baat hai
dil dil se duur rahte haiñ
aañkh se koī aañkh bhī nahīñ miltī
haath se haath ḳhauf khāte haiñ
fazā meñ saañs letī haiñ mahrūmiyāñ
is liye
shaam hī se āyatal-kursī paḌh letī haiñ
na-jāne kitnī udāsiyāñ
tum jo chāho to vaqt kā gauhar sameT lo
yā apnī hī pyaas se samundar sameT lo
tum mujhe paane ke
chāhe jitne jatan kar lo
tum bā-vafā ba-ma.anī ho
maiñ to ek lafz-e-be-ma.anī
apne aap se kab milā huuñ
jo tum se mil luuñ
tumheñ pā luuñ
tum mujhe pane ke
chahe jitne jatan kar lo
tum ba-wafa ba-mani ho
main to ek lafz-e-be-mani
apne aap se kab mila hun
jo tum se mil lun
tumhein pa lun
ye aur baat ki
mere taKHayyul ki asas tu
aaina tu aaina-gar bhi tu
raza bhi tu qaza bhi tu
rida bhi tu ada bhi tu
saza bhi tu jaza bhi tu
KHudi bhi tu KHuda bhi tu
lekin na jaane kya baat hai
dil dil se dur rahte hain
aankh se koi aankh bhi nahin milti
hath se hath KHauf khate hain
faza mein sans leti hain mahrumiyan
is liye
sham hi se aayatal-kursi paDh leti hain
na-jaane kitni udasiyan
tum jo chaho to waqt ka gauhar sameT lo
ya apni hi pyas se samundar sameT lo
tum mujhe pane ke
chahe jitne jatan kar lo
tum ba-wafa ba-mani ho
main to ek lafz-e-be-mani
apne aap se kab mila hun
jo tum se mil lun
tumhein pa lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.