ehtijaj
havā jab tak mire is jism kī dīvār ko
bosīda chhalnī kī tarah
sūrāḳh-dar-surāḳh kar letī nahīñ
maiñ saañs lene kī koī qīmat nahīñ dūñgā
ye āñdhī
jab talak ghar ke añdhere sard kone meñ
musalsal TimTimātī būḌhī battī ko
bujhā detī nahīñ
maiñ raushnī ke haath bai'at ke liye
apne ye sūkhe haath
uupar na uThā.ūñgā
nayā sūraj tulū' jab tak nahīñ hogā
maiñ galiyoñ āñganoñ
kachche makānoñ
shahr kī vīrān saḌkoñ
aur dīvāroñ pe tārīkī malūñgā
tīrgī phailāuñgā
sūraj nayā sūraj
tulū' jab tak nahīñ hogā
maiñ saare kosne
aur gāliyāñ
har sub.h havā ke dosh pe rakh kar
use paiġhām bhejūñgā
yahāñ jab log
tārīkī meñ ghuT ke mar rahe hoñge
hañsūñgā
kosne dūñgā
ki maiñ marne se pahle
ik dafa
bas ik dafa jī bhar ke jiinā chāhtā huuñ
maiñ ki jo sadiyoñ purāne ghar ke
tiira kamre meñ paidā huā thā
be-his-o-murda
siyah jism aur zaḳhmī ruuh ke hamrāh
magar is baar maiñ marne se pahle
hañste sūraj kī shu'ā'oñ meñ nahānā chāhtā huuñ
jis kī ḳhātir
shahr kī galiyoñ
makānoñ āñganoñ
saḌkoñ dīvāroñ par
maiñ tārīkī bichhātā huuñ
hawa jab tak mere is jism ki diwar ko
bosida chhalni ki tarah
suraKH-dar-suraKH kar leti nahin
main sans lene ki koi qimat nahin dunga
ye aandhi
jab talak ghar ke andhere sard kone mein
musalsal TimTimati buDhi batti ko
bujha deti nahin
main raushni ke hath bai'at ke liye
apne ye sukhe hath
upar na uThaunga
naya suraj tulu' jab tak nahin hoga
main galiyon aanganon
kachche makanon
shahr ki viran saDkon
aur diwaron pe tariki malunga
tirgi phailaunga
suraj naya suraj
tulu' jab tak nahin hoga
main sare kosne
aur galiyan
har subh hawa ke dosh pe rakh kar
use paigham bhejunga
yahan jab log
tariki mein ghuT ke mar rahe honge
hansunga
kosne dunga
ki main marne se pahle
ek dafa
bas ek dafa ji bhar ke jina chahta hun
main ki jo sadiyon purane ghar ke
tera kamre mein paida hua tha
be-his-o-murda
siyah jism aur zaKHmi ruh ke hamrah
magar is bar main marne se pahle
hanste suraj ki shu'a'on mein nahana chahta hun
jis ki KHatir
shahr ki galiyon
makanon aanganon
saDkon diwaron par
main tariki bichhata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.