ehtisab
kahīñ sukūn se baiTheñ
aur ye socheñ
ki jo ho chukā hai ab tak
ye jo zaḳhmoñ kā silsila hai andar tak
is meñ apnā daḳhl kitnā hai
kitnā apnā hissa hai
kis qadar apnī zaat shāmil hai
kyā yahī zindagī kā hāsil hai
ab talak jo milā hai mujhe
kyā bas is qadar hī milnā thā
ye jo zaḳhmoñ se ḳhuun ristā hai
jism be-jān ho jaatā hai
nuur āñkhoñ se kam sā hotā jaatā hai
uñgliyoñ meñ kapkapī sī hotī hai
pair bhī Dagmagāne lagte haiñ
apne andar yeh zahr kab phailā
jo badan meñ aag ban ke bahtā hai
ye tiir
kis taraf se aaya thā
aur kis ne khīñch kar chalāyā thā
jo basārat meñ gaḌ gayā aise
saare manzar
lahū meñ Duub ga.e
kahin sukun se baiThen
aur ye sochen
ki jo ho chuka hai ab tak
ye jo zaKHmon ka silsila hai andar tak
is mein apna daKHl kitna hai
kitna apna hissa hai
kis qadar apni zat shamil hai
kya yahi zindagi ka hasil hai
ab talak jo mila hai mujhe
kya bas is qadar hi milna tha
ye jo zaKHmon se KHun rista hai
jism be-jaan ho jata hai
nur aankhon se kam sa hota jata hai
ungliyon mein kapkapi si hoti hai
pair bhi Dagmagane lagte hain
apne andar yeh zahr kab phaila
jo badan mein aag ban ke bahta hai
ye tir
kis taraf se aaya tha
aur kis ne khinch kar chalaya tha
jo basarat mein gaD gaya aise
sare manzar
lahu mein Dub gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.