ehtisab
tanhā.ī meñ aksar sochā kartī huuñ
maut kyā aur hayāt kyā hai
hāsil aur lā-hāsil ke kyā ma.anī
zindagī ke safar meñ
chalte chalte ek din
maut se Takrā.eñge
laḌkhaḌā.eñge aur
kuchh vaqfe ke liye
dam le kar aage chaleñge
maut sirf ek vaqfa hai
aur phir se
hayāt kā safar hogā jaarī
jo aarzī nahīñ dā.imī hogā
kabhī na ḳhatm hone vaalā
yaqīnan
chalo apnā ehtisāb kar leñ
dā.imī is safar kā
kuchh intizām kar leñ
chalo apnā ehtisāb kar leñ
tanhai mein aksar socha karti hun
maut kya aur hayat kya hai
hasil aur la-hasil ke kya mani
zindagi ke safar mein
chalte chalte ek din
maut se Takraenge
laDkhaDaenge aur
kuchh waqfe ke liye
dam le kar aage chalenge
maut sirf ek waqfa hai
aur phir se
hayat ka safar hoga jari
jo aarzi nahin daimi hoga
kabhi na KHatm hone wala
yaqinan
chalo apna ehtisab kar len
daimi is safar ka
kuchh intizam kar len
chalo apna ehtisab kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.