ehtiyat
ab tum āġhosh-e-tasavvur meñ bhī aayā na karo
mujh se bikhre hue gesū nahīñ dekhe jaate
surḳh āñkhoñ kī qasam kāñptī palkoñ kī qasam
thartharāte hue aañsū nahīñ dekhe jaate
ab tum āġhosh-e-tasavvur meñ bhī aayā na karo
chhūT jaane do jo dāmān-e-vafā chhūT gayā
kyuuñ ye laġhzīda-ḳhirāmī pe pashīmāñ-nazarī
tum ne toḌā to nahīñ rishta-e-dil TuuT gayā
ab tum āġhosh-e-tasavvur meñ bhī aayā na karo
merī aahoñ se ye ruḳhsār na kumhlā jaa.eñ
DhūñDtī hogī tumheñ ras meñ nahā.ī huī raat
jaao kaliyāñ na kahīñ sej kī murjhā jaa.eñ
ab tum aaghosh-e-tasawwur mein bhi aaya na karo
mujh se bikhre hue gesu nahin dekhe jate
surKH aankhon ki qasam kanpti palkon ki qasam
thartharaate hue aansu nahin dekhe jate
ab tum aaghosh-e-tasawwur mein bhi aaya na karo
chhuT jaane do jo daman-e-wafa chhuT gaya
kyun ye laghzida-KHirami pe pashiman-nazari
tum ne toDa to nahin rishta-e-dil TuT gaya
ab tum aaghosh-e-tasawwur mein bhi aaya na karo
meri aahon se ye ruKHsar na kumhla jaen
DhunDti hogi tumhein ras mein nahai hui raat
jao kaliyan na kahin sej ki murjha jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.