eid ka din
eid kā din hai zamāne bhar pe chhā.ī hai bahār
hai zamīñ se āsmāñ tak ik fazā-e-ḳhush-gavār
ye vo din hai jo sukūn-e-dil qarār-e-jān hai
ye vo din hai jo bahār-e-hasrat-o-armān hai
hijr kī kulfat miTā detā hai dil se yaum-e-eid
aarzū ke gul khilā detā hai dil se yaum-e-eid
ishq kī mahfil sajāne ke liye hai yaum-e-eid
ātish-e-furqat bujhāne ke liye hai yaum-e-eid
tāzgī-e-dil bahār-e-zindagānī eid hai
ai ḳhushā roze ki roz-e-shādmānī eid hai
kaif-e-dīdār o surūr-e-vālihāna eid hai
hai payām-e-vasl milne kā bahāna eid hai
eid kā din ik payām-e-aish kī tamhīd hai
jis ko ho dīdār ai 'shāhid' usī kī eid hai
eid ka din hai zamane bhar pe chhai hai bahaar
hai zamin se aasman tak ek faza-e-KHush-gawar
ye wo din hai jo sukun-e-dil qarar-e-jaan hai
ye wo din hai jo bahaar-e-hasrat-o-arman hai
hijr ki kulfat miTa deta hai dil se yaum-e-eid
aarzu ke gul khila deta hai dil se yaum-e-eid
ishq ki mahfil sajaane ke liye hai yaum-e-eid
aatish-e-furqat bujhane ke liye hai yaum-e-eid
tazgi-e-dil bahaar-e-zindagani eid hai
ai KHusha roze ki roz-e-shadmani eid hai
kaif-e-didar o surur-e-walihana eid hai
hai payam-e-wasl milne ka bahana eid hai
eid ka din ek payam-e-aish ki tamhid hai
jis ko ho didar ai 'shahid' usi ki eid hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.