ek aam si laDki
vo ek aam sī laḌkī hai dekh kar jis ko
na jaane kyuuñ mujhe aisā ḳhayāl aatā hai
ki us ke hañsne kā andāz ye batātā hai
huī nahīñ hai ġham-e-dil se rasm-o-rāh abhī
paḌī nahīñ hai koī choT abhī rag-e-jāñ par
kisī nigāh se uljhī nahīñ nigāh abhī
vo ek aam sī laḌkī ik aisā jazba hai
milī nahīñ jise alfāz meñ panāh abhī
vo ek aam sī laḌkī hai jaise chhā.ī huī
mire javān ḳhayāloñ pe be-ḳhudī kī tarah
ḳhayāl aatā hai ik phuul banñe vaalī hai
vo kam-sinī jo hai muñh-band sī kalī kī tarah
jo rañg ban ke hai mahbūs us ke paikar meñ
vo bū-e-husn to phailegī raushnī kī tarah
vo ek aam sī laḌkī hai jis ke saada nuqūsh
chamak uTTheñge mohabbat kī sard aahoñ se
jahāñ pe phuul to kyā dil bujhe hue hoñge
guzarne vaalī hai vo in hasīn rāhoñ se
abhī to ḳhair se ma.asūmiyat Tapaktī hai
magar sharāb bhī Tapkegī un nigāhoñ se
vo ek aam sī laḌkī hai jis ke baare meñ
na jaane zehn meñ aate haiñ kyuuñ ḳhayāl ka.ī
magar baḌe hī tahayyur se aaj subah ke vaqt
sunī hai maiñ ne mohalle meñ ek baat na.ī
guzishta shab ko vahī ek aam sī laḌkī
ḳhud apne ghar ke mulāzim ke saath bhaag ga.ī
wo ek aam si laDki hai dekh kar jis ko
na jaane kyun mujhe aisa KHayal aata hai
ki us ke hansne ka andaz ye batata hai
hui nahin hai gham-e-dil se rasm-o-rah abhi
paDi nahin hai koi choT abhi rag-e-jaan par
kisi nigah se uljhi nahin nigah abhi
wo ek aam si laDki ek aisa jazba hai
mili nahin jise alfaz mein panah abhi
wo ek aam si laDki hai jaise chhai hui
mere jawan KHayalon pe be-KHudi ki tarah
KHayal aata hai ek phul banne wali hai
wo kam-sini jo hai munh-band si kali ki tarah
jo rang ban ke hai mahbus us ke paikar mein
wo bu-e-husn to phailegi raushni ki tarah
wo ek aam si laDki hai jis ke sada nuqush
chamak uTThenge mohabbat ki sard aahon se
jahan pe phul to kya dil bujhe hue honge
guzarne wali hai wo in hasin rahon se
abhi to KHair se masumiyat Tapakti hai
magar sharab bhi Tapkegi un nigahon se
wo ek aam si laDki hai jis ke bare mein
na jaane zehn mein aate hain kyun KHayal kai
magar baDe hi tahayyur se aaj subah ke waqt
suni hai main ne mohalle mein ek baat nai
guzishta shab ko wahi ek aam si laDki
KHud apne ghar ke mulazim ke sath bhag gai
- Book : Sangam (Pg. 47)
- Author : Naresh Kumar Shad
- Publication : New Taj Office,Delhi (1960)
- Edition : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.