ek aawaz
abhī abhī hī to sapne meñ yuuñ lagā mujh ko
bulā rahī hai koī an-sunī sadā mujh ko
miThās oḌh ke dhīmī sī gungunāhaT kī
na jaane zer-e-lab āvāz kah ga.ī hai kyā
hanūz gosh-bar-āvāz hai dil-e-hairāñ
kisī kī baat adhūrī hī rah ga.ī hai kyā
jhaḌī thī niiñd kī Tahnī se jo sadā kī kalī
ḳhud āgahī ke tamavvuj meñ bah ga.ī hai kyā
ajab nahīñ ki tasavvur se koī parchhā.īñ
nikal ke andhī guphāoñ kī samt lapkī ho
ajab nahīñ ki nam-ālūd shab kī chaukhaT par
samay kī mauj tanaffus ne aañkh jhapkī ho
ajab nahīñ ki sulagte sukūt kī rau meñ
kahīñ se narm sī aahaT kī buuñd Tapkī ho
ajab nahīñ ki kisī adh-khile shagūfe ne
havā ke ūñghte jhoñke kī piiTh thapkī ho
nuqūsh-e-pā meñ kisī ḳhush ḳhirām ne shāyad
sadā-e-pā kā rasīlā sā aks chhoḌā ho
falak se TuuT ke shāyad kisī sitāre ne
sukūt-e-shab ke hasīñ aa.ine ko toḌā ho
tilism-e-yād ne shāyad taraste kānoñ meñ
kisī kī sīm-gūñ sāñsoñ kā ras nichoḌā ho
ajab nahīñ ki mire zehn ke kivāḌoñ se
kisī bhaTaktī sadā ne sar apnā chhoḌā ho
rahī sadā-e-pur-asrār sī na ḳhvāb rahā
rahā ye āḳhir-e-shab shab kā māhtāb rahā
abhi abhi hi to sapne mein yun laga mujh ko
bula rahi hai koi an-suni sada mujh ko
miThas oDh ke dhimi si gungunahaT ki
na jaane zer-e-lab aawaz kah gai hai kya
hanuz gosh-bar-awaz hai dil-e-hairan
kisi ki baat adhuri hi rah gai hai kya
jhaDi thi nind ki Tahni se jo sada ki kali
KHud aagahi ke tamawwuj mein bah gai hai kya
ajab nahin ki tasawwur se koi parchhain
nikal ke andhi guphaon ki samt lapki ho
ajab nahin ki nam-alud shab ki chaukhaT par
samay ki mauj tanaffus ne aankh jhapki ho
ajab nahin ki sulagte sukut ki rau mein
kahin se narm si aahaT ki bund Tapki ho
ajab nahin ki kisi adh-khile shagufe ne
hawa ke unghte jhonke ki piTh thapki ho
nuqush-e-pa mein kisi KHush KHiram ne shayad
sada-e-pa ka rasila sa aks chhoDa ho
falak se TuT ke shayad kisi sitare ne
sukut-e-shab ke hasin aaine ko toDa ho
tilism-e-yaad ne shayad taraste kanon mein
kisi ki sim-gun sanson ka ras nichoDa ho
ajab nahin ki mere zehn ke kiwaDon se
kisi bhaTakti sada ne sar apna chhoDa ho
rahi sada-e-pur-asrar si na KHwab raha
raha ye aaKHir-e-shab shab ka mahtab raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.