ek achanak maut ka nauha
ba-zāhir ye lagtā hai
us malgajī sub.h ko sab sahāroñ ne jaise
achānak tirā saath chhoḌā
sahar ne zamīñ par qadam jab rakhā
to achānak zamīñ bevafā ho ga.ī
ubhartā huā āftāb
ek hī nā-gahāñ laġhzish-e-pā se yuuñ laḌkhaḌāyā
ki maġhrib ke pātāl meñ muñh ke bal jā samāyā
achānak farishte kafan sā.ebāñ kī tarah taan kar
āsmānoñ se utre
guloñ kī mahak kī jagah daf.atan bū-e-kāfūr kī sard-mehrī ne le lī
shajar ke badan se na.ī koñpaloñ kī bajā.e ḳhizāñ phuuT niklī
ba-zāhir ye lagtā hai
lekin bhalā hādsa ek-dam kab huā hai
bahut din se is sar-ba-mahar ātishīñ raaz kā guñg fiita
ḳhamoshī se jaltā chalā jā rahā thā
fanā ke garajte hue ābshāroñ ke uupar tanā
rassiyoñ kā ye pul
ek muddat se galtā jā rahā thā
ba-zahir ye lagta hai
us malgaji subh ko sab sahaaron ne jaise
achanak tera sath chhoDa
sahar ne zamin par qadam jab rakha
to achanak zamin bewafa ho gai
ubharta hua aaftab
ek hi na-gahan laghzish-e-pa se yun laDkhaDaya
ki maghrib ke patal mein munh ke bal ja samaya
achanak farishte kafan saeban ki tarah tan kar
aasmanon se utre
gulon ki mahak ki jagah dafatan bu-e-kafur ki sard-mehri ne le li
shajar ke badan se nai konpalon ki bajae KHizan phuT nikli
ba-zahir ye lagta hai
lekin bhala hadsa ek-dam kab hua hai
bahut din se is sar-ba-mahar aatishin raaz ka gung fita
KHamoshi se jalta chala ja raha tha
fana ke garajte hue aabshaaron ke upar tana
rassiyon ka ye pul
ek muddat se galta ja raha tha
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 138)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.