ek alamat
Interesting Fact
On Saadat Hasan Manto's death
ghaas se bach ke chalo ret ko gulzār kaho
narm kaliyoñ pe chaḌhā do ġham-e-daurāñ ke ġhilāf
ḳhud ko dil thaam ke murġhān-e-giraftār kaho
raat ko us ke tabassum se lipaT kar so jaao
sub.h uTTho to use shāhid-e-bāzār kaho
zehn kyā chiiz hai jazbe kī haqīqat kyā hai
farsh par baiTh ke tablīġh ke ash.ār kaho
isī raftār se chaltā hai jahān-e-guzarāñ
inhī qadmoñ pe zamāne ke qadam uThte haiñ
koī ainak se dikhātā hai to ham dekhte haiñ
koī kāñdhoñ pe uThātā hai to ham uThte haiñ
ek raqqāsa-e-tannāz kī mahfil hai jahāñ
kabhī aate haiñ bhatīje kabhī am uThte haiñ
kabhī ik gosha-e-tārīk ke vīrāne meñ
kisī jugnū ke chamakne pe fuġhāñ hotī hai
kabhī is marhamat-e-ḳhās kā andāza nahīñ
kabhī do buuñd chhalakne pe fuġhāñ hotī hai
kabhī manzil ke tasavvur se jigar jalte haiñ
kabhī sahrā meñ bhaTakne pe fuġhāñ hotī hai
ham ne is chor ko sīnoñ meñ dabā rakkhā hai
ham isī chor ke ḳhatre se pareshān bhī haiñ
kaun samjhegā ki is sat.h-e-ḳhush-āvāz ke ba.ad
usī Thahre hue tālāb meñ tūfān bhī haiñ
bhaa.ī kī aañkh ke kāñTe pe nazar hai sab kī
devtā bhī haiñ isī bazm meñ insān bhī haiñ
ḳhatt-e-sartān se aatī hai millar kī āvāz
aur america ke bāzār meñ kho jaatī hai
jaais kī fikr ne ta.amīr kyā hai jis ko
vo zamīñ hasrat-e-me.amār meñ kho jaatī hai
kabhī manTo kā qalam ban ke dahaktī hai hayāt
kabhī sarmā.e kī talvār meñ kho jaatī hai
har payambar pe hañsā hai ye zamāna lekin
har payambar ne jhukā.ī hai zamāne kī jabīñ
apne ham-asr se ḳhā.if na ho ai vaqt kī aañch
is kī miTTī meñ sitāroñ kā dhuāñ hai ki nahīñ
isī miTTī se damaktī hai ye dhartī varna
durd-e-yak-sāġhar-e-ġhaflat hai che duniyā o che-dīñ
jism ke daaġh chhupānā to koī baat nahīñ
ruuh ke zaḳhm sulagte haiñ pas-e-parda-e-dil
sar chhupā lete ho tum ret meñ jis ke aage
isī tūfān meñ ghir jaate haiñ lākhoñ sāhil
ek raahī jise ehsās na hasrat na talab
ik safar jis meñ na manzil na surāġh-e-manzil
apnī hassās subuk naak se rūmāl haTāo
khaad meñ mahz ta.affun hī nahīñ ḳhez bhī hai
zauq darkār hai qatre ko guhar karne meñ
ye mai-e-nāb pur-asrār bhī hai tez bhī hai
kuchh to hai vaj.h-e-dil-āzārī-o-āhañg-o-satez
varna ye tab-e-ḳhush-aḳhlāq-o-kam-āmez bhī hai
shahr kī tīra-o-tārīk guzargāhoñ meñ
dāstāñ hogī to manTo kā qalam likkhegā
ziist qānūn o farāmīn-e-qafas ke aage
be-zabāñ hogī to manTo kā qalam likkhegā
is shifā-ḳhāna-e-aḳhlāq meñ nashtar ke qarīb
rag-e-jāñ hogī to manTo kā qalam likkhegā
gopī-nāth aur zafar-shāh ke jaise kirdār
kitnī gumnāmī meñ jī lete haiñ mar jaate haiñ
kis ne un āñkhoñ meñ vo ḳhvāb lahakte dekhe
jo is insānoñ ke jañgal meñ bikhar jaate haiñ
kis kā ā.īna hai mozel kī us ruuh kā aks
jis meñ maryam ke hasīñ naqsh nikhar jaate haiñ
ai na.e asr kī rag rag ko samajhne vaale
fahm-o-idrāk badī haiñ to badī terī hai
chand lamhoñ kī ḳhudā.ī hai rivāyāt ke saath
fan ke ādarsh kī rūh-e-abadī terī hai
maut ye sirf sa.ādat kī hai manTo kī nahīñ
ye shab-o-roz tire haiñ ye sadī terī hai
ghas se bach ke chalo ret ko gulzar kaho
narm kaliyon pe chaDha do gham-e-dauran ke ghilaf
KHud ko dil tham ke murghan-e-giraftar kaho
raat ko us ke tabassum se lipaT kar so jao
subh uTTho to use shahid-e-bazar kaho
zehn kya chiz hai jazbe ki haqiqat kya hai
farsh par baiTh ke tabligh ke ashaar kaho
isi raftar se chalta hai jahan-e-guzaran
inhi qadmon pe zamane ke qadam uThte hain
koi ainak se dikhata hai to hum dekhte hain
koi kandhon pe uThata hai to hum uThte hain
ek raqqasa-e-tannaz ki mahfil hai jahan
kabhi aate hain bhatije kabhi am uThte hain
kabhi ek gosha-e-tarik ke virane mein
kisi jugnu ke chamakne pe fughan hoti hai
kabhi is marhamat-e-KHas ka andaza nahin
kabhi do bund chhalakne pe fughan hoti hai
kabhi manzil ke tasawwur se jigar jalte hain
kabhi sahra mein bhaTakne pe fughan hoti hai
hum ne is chor ko sinon mein daba rakkha hai
hum isi chor ke KHatre se pareshan bhi hain
kaun samjhega ki is sath-e-KHush-awaz ke baad
usi Thahre hue talab mein tufan bhi hain
bhai ki aankh ke kanTe pe nazar hai sab ki
dewta bhi hain isi bazm mein insan bhi hain
KHatt-e-sartan se aati hai millar ki aawaz
aur america ke bazar mein kho jati hai
jais ki fikr ne tamir kya hai jis ko
wo zamin hasrat-e-meamar mein kho jati hai
kabhi manTo ka qalam ban ke dahakti hai hayat
kabhi sarmae ki talwar mein kho jati hai
har payambar pe hansa hai ye zamana lekin
har payambar ne jhukai hai zamane ki jabin
apne ham-asr se KHaif na ho ai waqt ki aanch
is ki miTTi mein sitaron ka dhuan hai ki nahin
isi miTTi se damakti hai ye dharti warna
durd-e-yak-saghar-e-ghaflat hai che duniya o che-din
jism ke dagh chhupana to koi baat nahin
ruh ke zaKHm sulagte hain pas-e-parda-e-dil
sar chhupa lete ho tum ret mein jis ke aage
isi tufan mein ghir jate hain lakhon sahil
ek rahi jise ehsas na hasrat na talab
ek safar jis mein na manzil na suragh-e-manzil
apni hassas subuk nak se rumal haTao
khad mein mahz taffun hi nahin KHez bhi hai
zauq darkar hai qatre ko guhar karne mein
ye mai-e-nab pur-asrar bhi hai tez bhi hai
kuchh to hai wajh-e-dil-azari-o-ahang-o-satez
warna ye tab-e-KHush-aKHlaq-o-kam-amez bhi hai
shahr ki tira-o-tarik guzargahon mein
dastan hogi to manTo ka qalam likkhega
zist qanun o faramin-e-qafas ke aage
be-zaban hogi to manTo ka qalam likkhega
is shifa-KHana-e-aKHlaq mein nashtar ke qarib
rag-e-jaan hogi to manTo ka qalam likkhega
gopi-nath aur zafar-shah ke jaise kirdar
kitni gumnami mein ji lete hain mar jate hain
kis ne un aankhon mein wo KHwab lahakte dekhe
jo is insanon ke jangal mein bikhar jate hain
kis ka aaina hai mozel ki us ruh ka aks
jis mein maryam ke hasin naqsh nikhar jate hain
ai nae asr ki rag rag ko samajhne wale
fahm-o-idrak badi hain to badi teri hai
chand lamhon ki KHudai hai riwayat ke sath
fan ke aadarsh ki ruh-e-abadi teri hai
maut ye sirf saadat ki hai manTo ki nahin
ye shab-o-roz tere hain ye sadi teri hai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Mouj meri sadaf sadaf) (Pg. 54)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.