ek alwidai nazm
dhuul se aTe koltār-zada rāsto
maiñ phir ā.ūñgā
āsūda mohabbat kī zindagī kī tarah
tar-o-tāza aur javān āsmān
terī dhulī huī shādāb nīlāhaT ko piine ke liye
shafīq dhartī ke dāman meñ āsūda sabza-e-ḳhud-rau
terī shabnam ke qatroñ se
apne badan ke izmehlāl ko dhone ke liye
maiñ phir ā.ūñgā
ai mere nanhe-munne dost aslam
terī āñkhoñ meñ tairtī huī giilī sharārat ko
hañsāne ke liye
tere kamre kī be-niyāz dīvāroñ se bāteñ karne ke liye
maiñ phir ā.ūñgā
kamre meñ shor machāne vaalī maġhribī havā kī sīmābiyat ko
chhūne ke liye
maiñ phir ā.ūñgā
zohra shīlā aur giitā ke haañ apnī tanhā.ī ko bhulāne ke liye
jaane vaalī ma.asūm laḌkī
terī udāsī ko piine ke liye
maiñ phir ā.ūñgā
maiñ phir ā.ūñgā ki maiñ bhī zamīn kī tarah
ek mehvar par ghuum rahā huuñ
dhul se aTe koltar-zada rasto
main phir aaunga
aasuda mohabbat ki zindagi ki tarah
tar-o-taza aur jawan aasman
teri dhuli hui shadab nilahaT ko pine ke liye
shafiq dharti ke daman mein aasuda sabza-e-KHud-rau
teri shabnam ke qatron se
apne badan ke izmehlal ko dhone ke liye
main phir aaunga
ai mere nanhe-munne dost aslam
teri aankhon mein tairti hui gili shararat ko
hansane ke liye
tere kamre ki be-niyaz diwaron se baaten karne ke liye
main phir aaunga
kamre mein shor machane wali maghribi hawa ki simabiyat ko
chhune ke liye
main phir aaunga
zohra shila aur gita ke han apni tanhai ko bhulane ke liye
jaane wali masum laDki
teri udasi ko pine ke liye
main phir aaunga
main phir aaunga ki main bhi zamin ki tarah
ek mehwar par ghum raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.