ek aur mashwara
bastiyāñ hoñ kaisī bhī pastiyāñ hoñ jaisī bhī
har tarah kī zulmat ko raushnī kahā jaa.e
ḳhaak Dāleñ manzil par bhuul jaa.eñ sāhil ko
ruḳh jidhar ho paanī kā us taraf bahā jaa.e
mulk bech Dāleñ yā aabrū rakheñ girvī
jaisā hukm-e-hākim ho us tarah kiyā jaa.e
shor meñ sadāoñ ke ajnabī havāoñ ke
kaun sunñe vaalā hai? kis se ab kahā jaa.e!
guftugū pe pahre haiñ har taraf kaTahre haiñ
rāste muayyan haiñ har qadam pe likkhā hai
kis jagah pe ruknā hai! kis taraf chalā jaa.e
dil kī baat kahne kā ik yahī tarīqa hai
chhup ke saarī duniyā se ab gharoñ ke konoñ meñ
aap hī sunā jaa.e aap hī kahā jaa.e
bastiyan hon kaisi bhi pastiyan hon jaisi bhi
har tarah ki zulmat ko raushni kaha jae
KHak Dalen manzil par bhul jaen sahil ko
ruKH jidhar ho pani ka us taraf baha jae
mulk bech Dalen ya aabru rakhen girwi
jaisa hukm-e-hakim ho us tarah kiya jae
shor mein sadaon ke ajnabi hawaon ke
kaun sunne wala hai? kis se ab kaha jae!
guftugu pe pahre hain har taraf kaTahre hain
raste muayyan hain har qadam pe likkha hai
kis jagah pe rukna hai! kis taraf chala jae
dil ki baat kahne ka ek yahi tariqa hai
chhup ke sari duniya se ab gharon ke konon mein
aap hi suna jae aap hi kaha jae
- Book : Nazdik (Pg. 167)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.