lo tīsvāñ saal bhī biit gayā
lo baal rupahlī hone lage
lo kāsa-e-chashm huā ḳhālī
lo dil meñ nahīñ ab dard koī
ye tiis baras kaise kaaTe
ye tiis baras kaise guzre
āsān savāl hai kitnā ye!
ma.alūm hai mujh ko ye duniyā
kis tarah vajūd meñ aa.ī hai
kis tarah fanā hogī ik din
ma.alūm hai mujh ko insāñ ne
kis tarah se kī taḳhlīq-e-ḳhudā
kis tarah butoñ ko paidā kiyā
ma.alūm hai mujh ko maiñ kyā huuñ
kis vāste ab tak zinda huuñ
ik us ke javāb kā ilm nahīñ
ye tiis baras kaise kaaTe
haañ yaad hai itnā meñ ik din
toffē ke liye royā thā bahut
ammāñ ne mujhe piiTā thā bahut
haañ yaad hai itnā maiñ ik din
titlī kā ta.āqub karte hue
ik peḌ se jā Takrāyā thā
haañ itnā yaad hai maiñ ik din
nīndoñ ke dayār meñ sapnoñ kī
pariyoñ se lipaT kar soyā thā
haañ itnā yaad hai maiñ ik din
ghar vāloñ se apne laḌ-bhiḌ ke
toḌ aayā thā sab rishte-nāte
haañ itnā yaad hai maiñ ik din
jab bahut dukhī thā tanhā thā
ik jism kī aag meñ pighlā thā
haañ ye bhī yaad hai maiñ ik din
sach bol ke pachhtāyā thā bahut
apne se bhī sharmāyā thā bahut
haañ ye bhī yaad hai mujh ko ki maiñ
jab bahut hī be-kal hotā thā
ash.ār bhī likkhā kartā thā
haañ ye bhī yaad hai mujh ko ki maiñ
roTī rozī kī tamannā meñ
baḌā ḳhvār huā is duniyā meñ
haañ aur bhī kuchh hai yaad mujhe
magar is kā javāb kahāñ ye sab
ye tiis baras kaise guzre
ye tiis baras kaise kaaTe
ab is ke javāb se kyā hogā
chalo uTho ki sub.h huī dekho
chalo uTho ki apnā kaam kareñ
chalo uTho ki shahr-e-tamannā meñ
marham DhūñDeñ un zaḳhmoñ kā
jo dil ne abhī tak khaa.e nahīñ
ta.abīr kareñ un ḳhvāboñ kī
jo āñkhoñ ne dikhlā.e nahīñ
un lamhoñ ke hamrāz baneñ
jo ziist meñ apnī aa.e nahīñ
chalo tīsvāñ saal bhī biit gayā
chalo mai chalkā.eñ jashn kareñ
chalo sar ko jhukā.eñ sajde meñ
is umr-e-faromāya kā safar
aadhe se ziyāda ḳhatm huā
lo tiswan sal bhi bit gaya
lo baal rupahli hone lage
lo kasa-e-chashm hua KHali
lo dil mein nahin ab dard koi
ye tis baras kaise kaTe
ye tis baras kaise guzre
aasan sawal hai kitna ye!
malum hai mujh ko ye duniya
kis tarah wajud mein aai hai
kis tarah fana hogi ek din
malum hai mujh ko insan ne
kis tarah se ki taKHliq-e-KHuda
kis tarah buton ko paida kiya
malum hai mujh ko main kya hun
kis waste ab tak zinda hun
ek us ke jawab ka ilm nahin
ye tis baras kaise kaTe
han yaad hai itna mein ek din
toffee ke liye roya tha bahut
amman ne mujhe piTa tha bahut
han yaad hai itna main ek din
titli ka taaqub karte hue
ek peD se ja Takraya tha
han itna yaad hai main ek din
nindon ke dayar mein sapnon ki
pariyon se lipaT kar soya tha
han itna yaad hai main ek din
ghar walon se apne laD-bhiD ke
toD aaya tha sab rishte-nate
han itna yaad hai main ek din
jab bahut dukhi tha tanha tha
ek jism ki aag mein pighla tha
han ye bhi yaad hai main ek din
sach bol ke pachhtaya tha bahut
apne se bhi sharmaya tha bahut
han ye bhi yaad hai mujh ko ki main
jab bahut hi be-kal hota tha
ashaar bhi likkha karta tha
han ye bhi yaad hai mujh ko ki main
roTi rozi ki tamanna mein
baDa KHwar hua is duniya mein
han aur bhi kuchh hai yaad mujhe
magar is ka jawab kahan ye sab
ye tis baras kaise guzre
ye tis baras kaise kaTe
ab is ke jawab se kya hoga
chalo uTho ki subh hui dekho
chalo uTho ki apna kaam karen
chalo uTho ki shahr-e-tamanna mein
marham DhunDen un zaKHmon ka
jo dil ne abhi tak khae nahin
tabir karen un KHwabon ki
jo aankhon ne dikhlae nahin
un lamhon ke hamraaz banen
jo zist mein apni aae nahin
chalo tiswan sal bhi bit gaya
chalo mai chalkaen jashn karen
chalo sar ko jhukaen sajde mein
is umr-e-faromaya ka safar
aadhe se ziyaada KHatm hua
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 158)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.