ek aurat
anā ke TukḌe liye khaḌī hai
kabhī savālī hai zehn-o-dil se
kabhī gila hai zamīr se bhī
magar kahāñ koī sun rahā hai
ye pattharoñ ke makāñ ke andar
makīñ bhī saare haiñ pattharoñ ke
liye khaḌī hai vo ik samundar sā āñsuoñ kā
agar kahīñ bāñdh us ke āñchal kā TuuT jaa.e
har ek qatra hisāb māñgegā hashr-sāmāniyoñ kā tum se
javāb ātish-navā.iyoñ kā
javāb sahrā-navardiyoñ kā
magar kahāñ haiñ javāb saare
javāb lafzoñ se māvarā haiñ
ana ke TukDe liye khaDi hai
kabhi sawali hai zehn-o-dil se
kabhi gila hai zamir se bhi
magar kahan koi sun raha hai
ye pattharon ke makan ke andar
makin bhi sare hain pattharon ke
liye khaDi hai wo ek samundar sa aansuon ka
agar kahin bandh us ke aanchal ka TuT jae
har ek qatra hisab mangega hashr-samaniyon ka tum se
jawab aatish-nawaiyon ka
jawab sahra-nawardiyon ka
magar kahan hain jawab sare
jawab lafzon se mawara hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.