ek aurat ki hansi
pathrīle kohsār ke gaate chashmoñ meñ
guuñj rahī hai ek aurat kī narm hañsī
daulat tāqat aur shohrat sab kuchh bhī nahīñ
us ke badan meñ chhupī hai us kī āzādī
duniyā ke ma.abad ke na.e but kuchh kar leñ
sun nahīñ sakte us kī lazzat kī siskī
is bāzār meñ go har maal bikā.ū hai
koī ḳharīd ke laa.e zarā taskīn us kī
ik sarshārī jis se vo hī vāqif hai
chāhe bhī to us ko bech nahīñ saktī
vaadī kī āvāra havāo aa jaao
aao aur us ke chehre par bose do
apne lambe lambe baal uḌātī jaa.e
havā kī beTī saath havā ke gaatī jaa.e
The laughter of a woman
pathrile kohsar ke gate chashmon mein
gunj rahi hai ek aurat ki narm hansi
daulat taqat aur shohrat sab kuchh bhi nahin
us ke badan mein chhupi hai us ki aazadi
duniya ke mabad ke nae but kuchh kar len
sun nahin sakte us ki lazzat ki siski
is bazar mein go har mal bikau hai
koi KHarid ke lae zara taskin us ki
ek sarshaari jis se wo hi waqif hai
chahe bhi to us ko bech nahin sakti
wadi ki aawara hawao aa jao
aao aur us ke chehre par bose do
apne lambe lambe baal uDati jae
hawa ki beTi sath hawa ke gati jae
The laughter of a woman
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 327)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.