ek awami nazm
ham ḳhālī peT sarhad par
hāthoñ kī amn zanjīr nahīñ banā sakte
bhuuk hamārī rāteñ ḳhushk kar detī hai
aañsū kabhī pyaas nahīñ bujhāte
rajaz qaumī tarāna ban jaa.e
to zarḳhezī qahat ugāne lagtī hai
bachche maañ kī chhātiyoñ se
ḳhuun chūsne lagte haiñ
koī chehroñ pe parcham nahīñ banātā
aur yaum-e-āzādī par log
phul-jhaḌiyāñ nahīñ apnī ḳhushiyāñ jalāte haiñ
fauj kabhī naġhme nahīñ gungunā saktī
ki sipāhī khetiyāñ ujāḌne vaale
ḳhud-kār auzār hote haiñ
kyā phuul nau-biyāhatā aurat ke bāloñ
aur bachchoñ ke libās par hī jachtā hai
kaash
vatan kī had hudūd ke ta.ayyun ke liye
phūloñ kī kiyāriyāñ
āhinī-tāroñ kā mutabādil hotīñ
hum KHali peT sarhad par
hathon ki amn zanjir nahin bana sakte
bhuk hamari raaten KHushk kar deti hai
aansu kabhi pyas nahin bujhate
rajaz qaumi tarana ban jae
to zarKHezi qahat ugane lagti hai
bachche man ki chhatiyon se
KHun chusne lagte hain
koi chehron pe parcham nahin banata
aur yaum-e-azadi par log
phul-jhaDiyan nahin apni KHushiyan jalate hain
fauj kabhi naghme nahin gunguna sakti
ki sipahi khetiyan ujaDne wale
KHud-kar auzar hote hain
kya phul nau-biyahata aurat ke baalon
aur bachchon ke libas par hi jachta hai
kash
watan ki had hudud ke tayyun ke liye
phulon ki kiyariyan
aahini-taron ka mutabaadil hotin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.