ek baar phir
faqīroñ kā bhes liye
mere dar par
ayyār aa khaḌe hue haiñ
ye vahī to haiñ
jo ek baar pahle
mujh se merā naqsh le kar
hāthoñ meñ thamā ga.e the
jannat kā ek hasīn TukḌā
jo un ke jaate hī
dozaḳh ban gayā thā
chand saal ba.ad
vo mujh se ek aur naqsh le kar
is ke badle
de ga.e the ek samundar
jo is dozaḳh ko bujhā saktā thā
lekin un ke chale jaane ke ba.ad
vo samundar
tūfān-e-nūh ban gayā
aur aaj phir
vo mere dar par khaḌe haiñ
kāñdhoñ par liye hue ek kashtī
aur naqsh haath meñ liye
maiñ soch rahā huuñ
kyā ye kashtī
mujhe tūfān se nikāl sakegī?
ek bar phir
faqiron ka bhes liye
mere dar par
ayyar aa khaDe hue hain
ye wahi to hain
jo ek bar pahle
mujh se mera naqsh le kar
hathon mein thama gae the
jannat ka ek hasin TukDa
jo un ke jate hi
dozaKH ban gaya tha
chand sal baad
wo mujh se ek aur naqsh le kar
is ke badle
de gae the ek samundar
jo is dozaKH ko bujha sakta tha
lekin un ke chale jaane ke baad
wo samundar
tufan-e-nuh ban gaya
aur aaj phir
wo mere dar par khaDe hain
kandhon par liye hue ek kashti
aur naqsh hath mein liye
main soch raha hun
kya ye kashti
mujhe tufan se nikal sakegi?
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 208)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.