Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek baat

MORE BYAli Sardar Jafri

    is pe bhūle ho ki har dil ko kuchal Daalā hai

    is pe bhūle ho ki har gul ko masal Daalā hai

    aur har gosha-e-gulzār meñ sannāTā hai

    kisī siine meñ magar ek fuġhāñ to hogī

    aaj vo kuchh na sahī kal ko javāñ to hogī

    vo javāñ ho ke agar shola-e-javvāla banī

    vo javāñ ho ke agar ātish-e-sad-sāla banī

    ḳhud socho ki sitam-gāroñ pe kyā guzregī

    is pe bhule ho ki har dil ko kuchal Dala hai

    is pe bhule ho ki har gul ko masal Dala hai

    aur har gosha-e-gulzar mein sannaTa hai

    kisi sine mein magar ek fughan to hogi

    aaj wo kuchh na sahi kal ko jawan to hogi

    wo jawan ho ke agar shola-e-jawwala bani

    wo jawan ho ke agar aatish-e-sad-sala bani

    KHud hi socho ki sitam-garon pe kya guzregi

    Source :
    • Book : Ek Khvab aur (Pg. 103)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now