ek baat
mujhe har ik baat kī ḳhabar hai
jo ho chukī hai
jo ho rahī hai
jo hone vaalī hai aaj lekin
maiñ sirf us baat ke bhañvar meñ utar rahā huuñ
jo hone vaalī hai
jis ko sargoshiyoñ kā ik be-karāñ samundar
ugalne vaalā hai
kārvāñ jis kā ab hikāyat kī sar-zamīnoñ pe chalne vaalā hai
jis ko har dāstāñ gale se lagāne vaalī hai
jis kī haañ meñ har ek haañ haañ milāne vaalī hai
aao logo
talab ke sāhil pe ḳhāmushī kī dabīz chādar lapeT kar sone vaale logo
shāyad andoh ke añdhere meñ ḳhauf kī ḳhār-dār chādar lapeT kar rone vaale logo
suno ki jo baat hone vaalī hai us kā āġhāz ho rahā hai
suno ki ye baat aap kī hai
suno kī ye baat ruus aur chiin kī nahīñ hai
vahāñ to us ko hue zamāna guzar chukā hai
ye baat vietnam aur cambodia kī bhī ab nahīñ rahī hai
vahāñ to ab us kī shakl ik dāstāñ kī sūrat meñ Dhal chukī hai
vahāñ se ye baat chal chukī hai
ye baat ab tum karoge tum
jin ke vahm meñ bhī na thā ki ik din
use tumhāre lahū lahū lab adā kareñge
yahī to is baat kā karishma hai mo.ajiza hai
ki ibtidā us kī jab bhī hogī
vahī kareñge
jo intihā ke haqīr hoñge
magar bahut bā-zamīr hoñge
mujhe tumhāre
mujhe tumhāre haqīr aur bā-zamīr hone meñ shak nahīñ hai
ki maiñ bhī tum meñ se ek huuñ aur jāntā huuñ
ki tum jo muddat se ḳhāmushī kī dabīz chādar lapeT kar so rahe ho
kyā ho
ki tum jo andoh ke añdhere meñ ḳhauf kī ḳhār-dār chādar
lapeT kar ro rahe ho kyā huā
suno ki jo baat hone vaalī thī ho rahī hai
maiñ is kā āġhāz kar chukā huuñ
uTho apne lahū lahū lab
mirī sadā ke laboñ pe rakh do
mujhe har ek baat ki KHabar hai
jo ho chuki hai
jo ho rahi hai
jo hone wali hai aaj lekin
main sirf us baat ke bhanwar mein utar raha hun
jo hone wali hai
jis ko sargoshiyon ka ek be-karan samundar
ugalne wala hai
karwan jis ka ab hikayat ki sar-zaminon pe chalne wala hai
jis ko har dastan gale se lagane wali hai
jis ki han mein har ek han han milane wali hai
aao logo
talab ke sahil pe KHamushi ki dabiz chadar lapeT kar sone wale logo
shayad andoh ke andhere mein KHauf ki KHar-dar chadar lapeT kar rone wale logo
suno ki jo baat hone wali hai us ka aaghaz ho raha hai
suno ki ye baat aap ki hai
suno ki ye baat rus aur chin ki nahin hai
wahan to us ko hue zamana guzar chuka hai
ye baat wietnam aur cambodia ki bhi ab nahin rahi hai
wahan to ab us ki shakl ek dastan ki surat mein Dhal chuki hai
wahan se ye baat chal chuki hai
ye baat ab tum karoge tum
jin ke wahm mein bhi na tha ki ek din
use tumhaare lahu lahu lab ada karenge
yahi to is baat ka karishma hai moajiza hai
ki ibtida us ki jab bhi hogi
wahi karenge
jo intiha ke haqir honge
magar bahut ba-zamir honge
mujhe tumhaare
mujhe tumhaare haqir aur ba-zamir hone mein shak nahin hai
ki main bhi tum mein se ek hun aur jaanta hun
ki tum jo muddat se KHamushi ki dabiz chadar lapeT kar so rahe ho
kya ho
ki tum jo andoh ke andhere mein KHauf ki KHar-dar chadar
lapeT kar ro rahe ho kya hua
suno ki jo baat hone wali thi ho rahi hai
main is ka aaghaz kar chuka hun
uTho apne lahu lahu lab
meri sada ke labon pe rakh do
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 218)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.