ik ThiThurtī sub.h hai
Dāk-ḳhāne kī galī meñ
zard patte uḌ rahe haiñ
kapkapātī uñgliyoñ se likhā address
har koī paḌh letā hai
dopahar ke baaġh meñ
dā.ūdī phūloñ aur us ke darmiyāñ
naujavānī ke dinoñ kī ek yaad
der tak hañstī rahī
sah-pahar hai aur vo
kone vaalī shop se
ik ġhubāra le rahī hai
lafz hoñToñ se uḌāneñ bhar rahe haiñ
shaam kī ḳhāmosh rah par
vo koī asrār pahne chal rahī hai
rajnī-gandhā kī mahak bikhrī huī hai
duur peḌoñ meñ chhupī dargāh tak
ek ThiThurti subh hai
Dak-KHane ki gali mein
zard patte uD rahe hain
kapkapati ungliyon se likha address
har koi paDh leta hai
dopahar ke bagh mein
daudi phulon aur us ke darmiyan
naujawani ke dinon ki ek yaad
der tak hansti rahi
sah-pahar hai aur wo
kone wali shop se
ek ghubara le rahi hai
lafz honTon se uDanen bhar rahe hain
sham ki KHamosh rah par
wo koi asrar pahne chal rahi hai
rajni-gandha ki mahak bikhri hui hai
dur peDon mein chhupi dargah tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.