ek daraKHt
us ne apne dil kī kaalī dhartī par ek daraḳht ugāyā thā
pahle is par ummīdoñ ke phal aate the
is kī shāḳheñ ḳhushbuoñ ke pattoñ se bhar jaatī thiiñ
yādoñ kī ḳhushbueñ fazā meñ bikhar jaatī thiiñ
kabhī kabhī rātoñ kī māyūsī kī shabnam
saare daraḳht ko dho detī thī
phūloñ meñ nokīle kāñTe bo detī thī
phir bhī maiñ duniyā kī jaltī dhuup se ghabrā kar
akasr is ke saa.e meñ aa jaatā thā
sukh paatā thā
lekin ab ye daraḳht to jaise sañg-e-safed kā hai
is kī shāḳheñ dūdhiyā dhaat kī haiñ
ab is par TeḌhe-meḌhe maḳhrūtī aur murabba shakloñ vaale
lohe ke phal aate haiñ
is kā saaya garm dahakte añgāroñ kī aag hai
is kī ḳhushbū bahte ḳhuun kā raag hai
mere dil kī miTTī par ab koī daraḳht nahīñ hai naag hai
phan phailā kar baiThā hai aur apne jism ko Dastā hai
jism ab is kā jism nahīñ hai
piile ḳhuun kā rasta hai
us ne apne dil ki kali dharti par ek daraKHt ugaya tha
pahle is par ummidon ke phal aate the
is ki shaKHen KHushbuon ke patton se bhar jati thin
yaadon ki KHushbuen faza mein bikhar jati thin
kabhi kabhi raaton ki mayusi ki shabnam
sare daraKHt ko dho deti thi
phulon mein nokile kanTe bo deti thi
phir bhi main duniya ki jalti dhup se ghabra kar
akasr is ke sae mein aa jata tha
sukh pata tha
lekin ab ye daraKHt to jaise sang-e-safed ka hai
is ki shaKHen dudhiya dhat ki hain
ab is par TeDhe-meDhe maKHruti aur murabba shaklon wale
lohe ke phal aate hain
is ka saya garm dahakte angaron ki aag hai
is ki KHushbu bahte KHun ka rag hai
mere dil ki miTTi par ab koi daraKHt nahin hai nag hai
phan phaila kar baiTha hai aur apne jism ko Dasta hai
jism ab is ka jism nahin hai
pile KHun ka rasta hai
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 794)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.