chāñd kyuuñ abr kī us mailī sī gaThrī meñ chhupā thā
us ke chhupte hī añdheroñ ke nikal aa.e the nāḳhun
aur jañgal se guzarte hue māsūm musāfir
apne chehroñ ko kharoñchoñ se bachāne ke liye chīḳh paḌe the
chāñd kyuuñ abr kī us mailī sī gaThrī meñ chhupā thā
us ke chhupte hī utar aa.e the shāḳhoñ se laTakte hue
aaseb the jitne
aur jañgal se guzarte hue rahgīroñ ne gardan meñ utarte
hue dāñtoñ se sunā thā
paar jaanā hai to piine ko lahū denā paḌegā
chāñd kyuuñ abr kī us mailī sī gaThrī meñ chhupā thā
ḳhuun se luthḌī huī raat ke rahgīroñ ne do zaanū pa gir kar,
''raushnī, raushnī''! chillāyā thaa, dekhā thā falak kī jānib,
chāñd ne gaThrī se ek haath nikālā thaa, dikhāyā thā chamaktā huā ḳhanjar
chand kyun abr ki us maili si gaThri mein chhupa tha
us ke chhupte hi andheron ke nikal aae the naKHun
aur jangal se guzarte hue masum musafir
apne chehron ko kharonchon se bachane ke liye chiKH paDe the
chand kyun abr ki us maili si gaThri mein chhupa tha
us ke chhupte hi utar aae the shaKHon se laTakte hue
aaseb the jitne
aur jangal se guzarte hue rahgiron ne gardan mein utarte
hue danton se suna tha
par jaana hai to pine ko lahu dena paDega
chand kyun abr ki us maili si gaThri mein chhupa tha
KHun se luthDi hui raat ke rahgiron ne do zanu pa gir kar,
raushni, raushni! chillaya tha, dekha tha falak ki jaanib,
chand ne gaThri se ek hath nikala tha, dikhaya tha chamakta hua KHanjar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.