ek dhundli yaad
bārisheñ us ke badan par
zor se girtī rahīñ
aur vo bhīgī qabā meñ
der tak chaltī rahī
surḳh thā us kā badan
aur surḳh thī us kī qabā
surḳh thī us dam havā
bārishoñ meñ jañgaloñ ke darmiyāñ chalte ho
bhīgte chehre ko yā us kī qabā ko dekhte
baañs ke gunjān rastoñ pe kabhī baḌhte hue
us kī bhīgī aañkh meñ khultī dhanak takte hue
aur kabhī pīpal ke gahre surḳh sāyoñ ke tale
us ke bhīge hoñT pe kuchh titliyāñ rakhte hue
bārishoñ meñ bhīgte lamhe use bhī yaad haiñ
yaad haiñ us ko bhī hoñToñ pe sajī kuchh titliyāñ
yaad hai mujh ko bhī us kī aañkh meñ khultī dhanak
barishen us ke badan par
zor se girti rahin
aur wo bhigi qaba mein
der tak chalti rahi
surKH tha us ka badan
aur surKH thi us ki qaba
surKH thi us dam hawa
barishon mein jangalon ke darmiyan chalte ho
bhigte chehre ko ya us ki qaba ko dekhte
bans ke gunjaan raston pe kabhi baDhte hue
us ki bhigi aankh mein khulti dhanak takte hue
aur kabhi pipal ke gahre surKH sayon ke tale
us ke bhige honT pe kuchh titliyan rakhte hue
barishon mein bhigte lamhe use bhi yaad hain
yaad hain us ko bhi honTon pe saji kuchh titliyan
yaad hai mujh ko bhi us ki aankh mein khulti dhanak
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 157)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.