ek din
din kī raushnī meñ raat mil ga.ī
do-ghaḌī jo tere saath jī liye
nashāt ke tamām jaam pī liye
husn ishq aur talab kī hurmateñ
surūr-o-kaif aur sukūñ kī hashmateñ
ridā-e-nūr ban ke taar taar ho ke jism meñ utar ga.iiñ
mā-sivā bikhar gayā
nasha surūr kī hadoñ se paar raushnī kī raah se guzar gayā
din kī tez dhuup meñ
fazā-e-yād ke tamām naqsh
terī merī chāñdnī uḌā ke le ga.ī
maze tamām lazzatoñ ke chand sā.atoñ meñ
yuuñ samā ga.e
ki din kī vus.atoñ pe raat chhā ga.ī
talāsh ke surūr meñ
sarāb kī hadoñ se ham guzar ga.e
hameñ hamārī zaat kā nishāñ milā
hameñ hamārī baat kā gumāñ milā
sāya-e-makāñ meñ lā-makāñ milā
din ki raushni mein raat mil gai
do-ghaDi jo tere sath ji liye
nashat ke tamam jam pi liye
husn ishq aur talab ki hurmaten
surur-o-kaif aur sukun ki hashmaten
rida-e-nur ban ke tar tar ho ke jism mein utar gain
ma-siwa bikhar gaya
nasha surur ki hadon se par raushni ki rah se guzar gaya
din ki tez dhup mein
faza-e-yaad ke tamam naqsh
teri meri chandni uDa ke le gai
maze tamam lazzaton ke chand saaton mein
yun sama gae
ki din ki wusaton pe raat chha gai
talash ke surur mein
sarab ki hadon se hum guzar gae
hamein hamari zat ka nishan mila
hamein hamari baat ka guman mila
saya-e-makan mein la-makan mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.