ek din yun KHizan aa gai
aur phir ek din yuuñ ḳhizāñ aa ga.ī
ābnūsī tanoñ ke barahna shajar
sar-nigūñ saf-ba-saf pesh-e-dīvār-o-dar
aur chāroñ taraf un ke bikhre hue
zard patte diloñ ke sar-e-rahguzar
jis ne chāhā vo guzrā unheñ rauñd kar
aur kisī ne zarā sī fuġhāñ bhī na kī
When Autumn Came
un kī shāḳhoñ se ḳhvāboñ ke sab naġhma-gar
jin kī āvāz gardan kā phandā banī
apne naġhmoñ se jab nāshanā ho ga.e
aap hī aap sab ḳhaak meñ aa gire
aur sayyād ne gumāñ bhī na kī
ai ḳhudā-e-bahārāñ zarā rahm kar
un kī murda ragoñ ko numū baḳhsh de
un ke tishna diloñ ko lahū baḳhsh de
koī ik peḌ phir lahlahāne lage
koī ik naġhma-gar chahchahāne lage
This is the way that autumn came to the trees:
it stripped them down to the skin,
left their ebony bodies naked.
It shook out their hearts, the yellow leaves,
scattered them over the ground.
Anyone could trample them out of shape
undisturbed by a single moan of protest.
aur phir ek din yun KHizan aa gai
aabnusi tanon ke barahna shajar
sar-nigun saf-ba-saf pesh-e-diwar-o-dar
aur chaaron taraf un ke bikhre hue
zard patte dilon ke sar-e-rahguzar
jis ne chaha wo guzra unhen raund kar
aur kisi ne zara si fughan bhi na ki
When Autumn Came
un ki shaKHon se KHwabon ke sab naghma-gar
jin ki aawaz gardan ka phanda bani
apne naghmon se jab nashana ho gae
aap hi aap sab KHak mein aa gire
aur sayyaad ne guman bhi na ki
ai KHuda-e-bahaaran zara rahm kar
un ki murda ragon ko numu baKHsh de
un ke tishna dilon ko lahu baKHsh de
koi ek peD phir lahlahane lage
koi ek naghma-gar chahchahane lage
This is the way that autumn came to the trees:
it stripped them down to the skin,
left their ebony bodies naked.
It shook out their hearts, the yellow leaves,
scattered them over the ground.
Anyone could trample them out of shape
undisturbed by a single moan of protest.
- Book : Salected Poems of Faiz Ahamad Faiz (Pg. 20)
- Publication : Princetion University Press Princetion, New Jersey
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.