ek ehsas
ujaaḌ saḌkoñ kī donoñ jānib
ghane daraḳhtoñ ke lambe saa.e tale
zamāne kī dhuup se tapte din guzāre
ghanerī zulfoñ kī ThanDī chhāñv tale
javānī kī garm jaltī do-pahreñ kāTīñ
ghane daraḳhtoñ kā saaya qaa.em
ghanerī zulfoñ kī chhāñv daa.im
magar mire sar se Dhal chukī hai
ujaD saDkon ki donon jaanib
ghane daraKHton ke lambe sae tale
zamane ki dhup se tapte din guzare
ghaneri zulfon ki ThanDi chhanw tale
jawani ki garm jalti do-pahren kaTin
ghane daraKHton ka saya qaem
ghaneri zulfon ki chhanw daim
magar mere sar se Dhal chuki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.