ek express train
aziyyat-nāk us gaaḌī kā andāz-e-ravānī hai
baḌī dil-doz us ke har musāfir kī kahānī hai
safar kī har sa.ūbat ik balā-e-nā-gahānī hai
na roTī hai na sālan hai na chaa.e hai na paanī hai
ye diesel kī bajā.e har qadam par jaan khātī hai
javānī aadmī kī rāste meñ biit jaatī hai
yahāñ gul-ḳhān jitne haiñ vo sab pur-josh baiThe haiñ
magar punjab ke jo log haiñ ḳhāmosh baiThe haiñ
ka.ī kuchh hosh meñ haiñ aur kuchh behosh baiThe haiñ
ka.ī na.ara-ba-lab haiñ aur kafan-bar-dosh baiThe haiñ
hai bhiiḌ itnī ki izrā.īl se dar tak nahīñ hiltā
use bogī meñ ghusne kā koī rasta nahīñ miltā
yahāñ īmān kī daulat bhī hai ik jins-e-be-māya
nikal jaatā hai har-ik dil se ġham-ḳhvārī kā sarmāya
haqīqat meñ ye raaz ab tak samajh koī nahīñ paayā
gayā ik baar jo bait-ul-ḳhalā meñ phir nahīñ aayā
jo thī jā-e-farāġhat ban ga.ī jā-e-amāñ shāyad
yahī hai gosha-e-mahfūz zer-e-āsmāñ shāyad
taras aatā hai rah rah kar mujhe un nā-tavānoñ par
paḌe haiñ bojh ban kar jo thake-hāre javānoñ par
salāḳhoñ se chimaT kar jo khaḌe haiñ pā.idānoñ par
haiñ un kī ḳhāna-barbādī ke qisse āsmānoñ par
har ik jhaTke pe Tāñgeñ kāñptī haiñ dam nikaltā hai
sañbhal kar koī girtā hai koī gir kar sañbhaltā hai
vahī gaaḌī pe qābiz hai usī kā bol-bālā hai
vo jis ne apne ik sāthī kā kurtā phaaḌ Daalā hai
tiffin khāne kā jis ne apne hāthoñ meñ sañbhālā hai
samajh lo fāqa-mastoñ ke liye vo tar nivāla hai
kamar bāñdhe hue laḌne ko yaañ sab yaar baiThe haiñ
jo apne haiñ jhapaTne ke liye tayyār baiThe haiñ
jo raahī railway ahkām kī ta.amīl kar baiThe
vo apne ġham kī daurān-e-safar takmīl kar baiThe
sukūn-e-qalb apnā vāsil-e-tājīl kar baiThe
ka.ī ḳhush-baḳht apnī bīviyāñ tabdīl kar baiThe
mirā beTā shakūre kā navāsā ban ke baiThā thā
jo merā thā kabhī us kā asāsa ban ke baiThā thā
aziyyat-nak us gaDi ka andaz-e-rawani hai
baDi dil-doz us ke har musafir ki kahani hai
safar ki har saubat ek bala-e-na-gahani hai
na roTi hai na salan hai na chae hai na pani hai
ye diesel ki bajae har qadam par jaan khati hai
jawani aadmi ki raste mein bit jati hai
yahan gul-KHan jitne hain wo sab pur-josh baiThe hain
magar punjab ke jo log hain KHamosh baiThe hain
kai kuchh hosh mein hain aur kuchh behosh baiThe hain
kai nara-ba-lab hain aur kafan-bar-dosh baiThe hain
hai bhiD itni ki izrail se dar tak nahin hilta
use bogi mein ghusne ka koi rasta nahin milta
yahan iman ki daulat bhi hai ek jins-e-be-maya
nikal jata hai har-ik dil se gham-KHwari ka sarmaya
haqiqat mein ye raaz ab tak samajh koi nahin paya
gaya ek bar jo bait-ul-KHala mein phir nahin aaya
jo thi ja-e-faraghat ban gai ja-e-aman shayad
yahi hai gosha-e-mahfuz zer-e-asman shayad
taras aata hai rah rah kar mujhe un na-tawanon par
paDe hain bojh ban kar jo thake-haare jawanon par
salaKHon se chimaT kar jo khaDe hain paidanon par
hain un ki KHana-barbaadi ke qisse aasmanon par
har ek jhaTke pe Tangen kanpti hain dam nikalta hai
sanbhal kar koi girta hai koi gir kar sanbhalta hai
wahi gaDi pe qabiz hai usi ka bol-baala hai
wo jis ne apne ek sathi ka kurta phaD Dala hai
tiffin khane ka jis ne apne hathon mein sanbhaala hai
samajh lo faqa-maston ke liye wo tar niwala hai
kamar bandhe hue laDne ko yan sab yar baiThe hain
jo apne hain jhapaTne ke liye tayyar baiThe hain
jo rahi railway ahkaam ki tamil kar baiThe
wo apne gham ki dauran-e-safar takmil kar baiThe
sukun-e-qalb apna wasil-e-tajil kar baiThe
kai KHush-baKHt apni biwiyan tabdil kar baiThe
mera beTa shakure ka nawasa ban ke baiTha tha
jo mera tha kabhi us ka asasa ban ke baiTha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.