ek faqir ki dua
maiñ māñgne vaalā huuñ
nikal jaatā huuñ kabhī
mandir kabhī masjid kī taraf
girjā aur gurū-dvāre kā chakkar bhī lagā letā huuñ
aaj shahr ke baḌe maidān meñ
baḌī sajāvaT hai
kisī tehvār ke jashn jaisā māhaul hai
hujūm hai bhiiḌ hai sāmān hī sāmān hai
log kah rahe haiñ baḌe mantarī aane vaale haiñ
charchā ye bhī hai ki baḌe dīn-dayālū haiñ
roTī kapḌā aur makān to bahutoñ ne diyā
un ke hāthoñ meñ har dukh kā ilaaj hai
ye to baḌā hī chamatkār hai parbhū
to in ke pichhle janm kā shāyad upkār hai
ai niilī chhatrī vaale
merī bhī ik bintī sun le
zindagī jo merī ghisaT rahī hai
bhuuk ke peT khule āsmān ke nīche kaT rahī hai
agle janam mujhe bhī mantarī banā.iyo
isī shaan aur ThāT-bāT ke
saath har jagah ghumā.iyo
merā to shahr bhī ajnabī hai mere liye
agle janam meñ mujhe bhī saarī duniyā kī sair karā.iyo
ek aadh kapḌoñ hī meñ guzartī hai zindagī merī
agle janam ḳhuub qīmtī kapḌe pahnā.iyo
ai daatā agle janam
mujhe bhī baḌā mantarī banā.iyo
main mangne wala hun
nikal jata hun kabhi
mandir kabhi masjid ki taraf
girja aur guru-dware ka chakkar bhi laga leta hun
aaj shahr ke baDe maidan mein
baDi sajawaT hai
kisi tehwar ke jashn jaisa mahaul hai
hujum hai bhiD hai saman hi saman hai
log kah rahe hain baDe mantari aane wale hain
charcha ye bhi hai ki baDe din-dayalu hain
roTi kapDa aur makan to bahuton ne diya
un ke hathon mein har dukh ka ilaj hai
ye to baDa hi chamatkar hai parbhu
to in ke pichhle janm ka shayad upkar hai
ai nili chhatri wale
meri bhi ek binti sun le
zindagi jo meri ghisaT rahi hai
bhuk ke peT khule aasman ke niche kaT rahi hai
agle janam mujhe bhi mantari banaiyo
isi shan aur ThaT-baT ke
sath har jagah ghumaiyo
mera to shahr bhi ajnabi hai mere liye
agle janam mein mujhe bhi sari duniya ki sair karaiyo
ek aadh kapDon hi mein guzarti hai zindagi meri
agle janam KHub qimti kapDe pahnaiyo
ai data agle janam
mujhe bhi baDa mantari banaiyo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.