ek ghair aham sham ka tazkira
tum se bichhaḌ ke ziist meñ
ġham kā nuzūl rah gayā
bujh gayā rang-e-shā.irī
harf-e-fuzūl rah gayā
mere liye to har nafas
dukh kā husūl rah gayā
dil kā jo ik gulāb thā
ban ke vo dhuul rah gayā
sarv-o-saman chale ga.e
sirf babūl rah gayā
shaam kī zulf meñ sajā
yaad kā phuul rah gayā
mujh ko akelā dekh kar
chāñd malūl rah gayā
tum se bichhaD ke zist mein
gham ka nuzul rah gaya
bujh gaya rang-e-shairi
harf-e-fuzul rah gaya
mere liye to har nafas
dukh ka husul rah gaya
dil ka jo ek gulab tha
ban ke wo dhul rah gaya
sarw-o-saman chale gae
sirf babul rah gaya
sham ki zulf mein saja
yaad ka phul rah gaya
mujh ko akela dekh kar
chand malul rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.