ek ghair-rasmi marsiya
rāñjhā sīna-e-shab meñ
dard kī mish.al raushan kar ke
hiir kī taaza qabr pe jhukā huā baiThā hai
ulTī sāñseñ bhartā rāñjhā ḳhaak se jaane kyā kuchh pūchh rahā hai
lekin jin kānoñ ke chhed abhī bharnā hī shurūa hue hoñ
jin ke jog ko tāza-tāza zañg lagā ho
un kī samā.at kyā hai
apnī bujhtī āñkhoñ se rāñjhā parda-e-arsh ke paar ḳhudā ko dekh ke us par
ġhaiz-o-ġhazab kī ek nigāh girānā chāhtā hai shāyad
lekin jin āñkhoñ meñ ab tak TuuT chuke ik ḳhvāb-e-ḳhush-numā ke kuchh aks ubhar aate hoñ
un kī basīrat kyā hai
apne sūkhe hoñToñ se rāñjhā
nīm-marg ho kar bhī hiir se muāfī talab kartā hai
lekin jis ke hoñT kisī muzhde kī lazzat se abhī puurī tarah judā na hue hoñ
us murde ke hoñT sivā is ke kyā kah sakte the?
zahr piyāla p ke das maiñ moyā jaañ tuuñ moī
rāñjhā rāñjhā kardī
nī tuuñ aape rāñjhā` hoī
ranjha sina-e-shab mein
dard ki mishal raushan kar ke
hir ki taza qabr pe jhuka hua baiTha hai
ulTi sansen bharta ranjha KHak se jaane kya kuchh puchh raha hai
lekin jin kanon ke chhed abhi bharna hi shurua hue hon
jin ke jog ko taza-taza zang laga ho
un ki samaat kya hai
apni bujhti aankhon se ranjha parda-e-arsh ke par KHuda ko dekh ke us par
ghaiz-o-ghazab ki ek nigah girana chahta hai shayad
lekin jin aankhon mein ab tak TuT chuke ek KHwab-e-KHush-numa ke kuchh aks ubhar aate hon
un ki basirat kya hai
apne sukhe honTon se ranjha
nim-marg ho kar bhi hir se muafi talab karta hai
lekin jis ke honT kisi muzhde ki lazzat se abhi puri tarah juda na hue hon
us murde ke honT siwa is ke kya kah sakte the?
zahr piyala p ke das main moya jaan tun moi
ranjha ranjha kardi
ni tun aape ranjha` hoi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.