ek gap
do gap-bāzoñ ne kal mujh ko
ek kahānī yūñhī sunā.ī
jhuuT hai sach hai rab hī jaane
log purāne ye kahte the
ek zamāna aisā bhī thā
chāñd sitāre sūraj saare
saath rahā karte the
ik din ik nanhe taare kī
sālgirah jo aa.ī
sūraj ne sab
āsmān ke bāshindoñ ko
ghar pe ziyāfat par bulvāyā
cake baḌā sā kahkashāñ ke
ik bāzār se aaya
khiir magar ghar par hī pakegī
aisā ghar meñ tai paayā
chāñd bahut masrūf thā us din
kaam bahut the
sū-e-ittifāq huā kuchh aisā
shakar khiir meñ
bhuul se paḌnī rah ga.ī
bas ye musībat aa.ī
mehmānoñ ke biich huī jab
mister sūraj kī rusvā.ī
sūraj laal bhabhūkā ho kar
pair paTaḳhtā ghar se niklā
vo din hai aur aaj kā din hai
chāñd sitāre
khoj meñ sūraj ke phirte haiñ
raat kī vaadī meñ chalte haiñ
us ke aage din kā sahrā
us meñ sūraj dauḌā dauḌā phirtā hai
donoñ kī ye āñkh-micholī
jaane kab tak yūñhī chalegī
kab ye donoñ mil pā.eñge
do gap-bazon ne kal mujh ko
ek kahani yunhi sunai
jhuT hai sach hai rab hi jaane
log purane ye kahte the
ek zamana aisa bhi tha
chand sitare suraj sare
sath raha karte the
ek din ek nanhe tare ki
salgirah jo aai
suraj ne sab
aasman ke bashindon ko
ghar pe ziyafat par bulwaya
cake baDa sa kahkashan ke
ek bazar se aaya
khir magar ghar par hi pakegi
aisa ghar mein tai paya
chand bahut masruf tha us din
kaam bahut the
su-e-ittifaq hua kuchh aisa
shakar khir mein
bhul se paDni rah gai
bas ye musibat aai
mehmanon ke bich hui jab
mister suraj ki ruswai
suraj lal bhabhuka ho kar
pair paTaKHta ghar se nikla
wo din hai aur aaj ka din hai
chand sitare
khoj mein suraj ke phirte hain
raat ki wadi mein chalte hain
us ke aage din ka sahra
us mein suraj dauDa dauDa phirta hai
donon ki ye aankh-micholi
jaane kab tak yunhi chalegi
kab ye donon mil paenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.