ek gharib laDki ka KHwab
roz-afzūñ ye dekhtī huuñ maiñ
mere ḳhvāboñ meñ koī aatā hai
duur hī duur se vo merī taraf
dekh kar muskurā.e jaatā hai
ajnabī shaḳhs dilrubā jaisā
paas aa kar ke kuchh nahīñ kahtā
jaag uThtā hai dil kā ik taarā
mere ḳhvāboñ meñ jab vo aatā hai
hasratoñ ke mazār par jhuk kar
ārizoñ ke diye jalātā hai
āñkhoñ āñkhoñ meñ baat hotī hai
raqs meñ kā.enāt hotī hai
zindagī kī hasīn vaadī meñ
pyār-o-ulfat ke phuul khilte haiñ
apnī qadroñ kā vāsta de kar
ham gale se gale jo milte haiñ
nik.hatoñ kā salām aatā hai
zindagī kā payām aatā hai
jāñ-fazā dil-navāz ye lamhe
chāhtī huuñ ki jāvedāñ ho jaa.eñ
tham ke rah jaa.e vaqt kī raftār
aur din-rāt be-nishāñ ho jaa.eñ
bazm-e-hastī dhuāñ dhuāñ ho jaa.e
jo na ho jo ho be-gumāñ ho jaa.e
mujh ko ma.alūm hai magar ye bhī
mere ḳhvāboñ kī kuchh nahīñ ta.abīr
phir bhī itnā mujhe batā.e kaun
log kyoñ ho ga.e havas ke asiir
is se zyāda kare bhī kyā takrār
ek muflis kī duḳhtar-e-lāchār
roz-afzun ye dekhti hun main
mere KHwabon mein koi aata hai
dur hi dur se wo meri taraf
dekh kar muskurae jata hai
ajnabi shaKHs dilruba jaisa
pas aa kar ke kuchh nahin kahta
jag uThta hai dil ka ek tara
mere KHwabon mein jab wo aata hai
hasraton ke mazar par jhuk kar
aarizon ke diye jalata hai
aankhon aankhon mein baat hoti hai
raqs mein kaenat hoti hai
zindagi ki hasin wadi mein
pyar-o-ulfat ke phul khilte hain
apni qadron ka wasta de kar
hum gale se gale jo milte hain
nikhaton ka salam aata hai
zindagi ka payam aata hai
jaan-faza dil-nawaz ye lamhe
chahti hun ki jawedan ho jaen
tham ke rah jae waqt ki raftar
aur din-raat be-nishan ho jaen
bazm-e-hasti dhuan dhuan ho jae
jo na ho jo ho be-guman ho jae
mujh ko malum hai magar ye bhi
mere KHwabon ki kuchh nahin tabir
phir bhi itna mujhe batae kaun
log kyon ho gae hawas ke asir
is se zyaada kare bhi kya takrar
ek muflis ki duKHtar-e-lachaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.