ek gaz ki zaban
ishq kā mezbān hai pyāre
husn kī bas ye shaan hai pyāre
terī sheḳhī kā kyā asar hogā
terā āshiq paThān hai pyāre
jo tire husn kā bane ullū
vo baḌā bhāgvān hai pyāre
phīkā pakvān kyoñ na ho āḳhir
terī ūñchī dukān hai pyāre
ishq meñ aur kyā ho habs-e-davām
hijr ḳhud andaman hai pyāre
qad to bālisht-bhar kā hai terā
ek gaz kī zabān hai pyāre
haañ tabī.at harī maiñ kar dūñgā
mere bangle meñ lawn hai pyāre
mujh se achchhā to ġhair hī niklā
jo tirā fēl-bān hai pyāre
tere abbā se hogā interview
kal mirā imtihān hai pyāre
tujh ko mujh se yaqīn-e-tark-e-vafā
aur mujh ko gumān hai pyāre
shauq se khā jo tujh ko aa.e pasand
ye parāThā ye naan hai pyāre
īd-e-qurbāñ pe kī hai qurbānī
le ye bakre kī raan hai pyāre
jis ko kahtā hai tū 'zarīf' zarīf
vo zarāfat kī jaan hai pyāre
ishq ka mezban hai pyare
husn ki bas ye shan hai pyare
teri sheKHi ka kya asar hoga
tera aashiq paThan hai pyare
jo tere husn ka bane ullu
wo baDa bhagwan hai pyare
phika pakwan kyon na ho aaKHir
teri unchi dukan hai pyare
ishq mein aur kya ho habs-e-dawam
hijr KHud andaman hai pyare
qad to baalisht-bhar ka hai tera
ek gaz ki zaban hai pyare
han tabiat hari main kar dunga
mere bangle mein lawn hai pyare
mujh se achchha to ghair hi nikla
jo tera feel-ban hai pyare
tere abba se hoga interwiew
kal mera imtihan hai pyare
tujh ko mujh se yaqin-e-tark-e-wafa
aur mujh ko guman hai pyare
shauq se kha jo tujh ko aae pasand
ye paraTha ye nan hai pyare
id-e-qurban pe ki hai qurbani
le ye bakre ki ran hai pyare
jis ko kahta hai tu 'zarif' zarif
wo zarafat ki jaan hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.