ek git kai khel
aa.e bādal chalī havā
jaage phuul sajīñ beleñ
aaj hamārī chhuTTī hai
chhuTTī ke din kyā kheleñ
harā samundar gopī chandr
bol merī machhlī kitnā paanī
apne dil meñ itnī himmat
beach samundar jitnā paanī
koḌā jamāl shāhī
pīchhe dekhā maar khaa.ī
hañste baste hañsī ḳhushī
kheleñ bahneñ kheleñ bhaa.ī
khel bhī hai ye varzish bhī
khele kuude jaan banā.ī
ham phūloñ bhare aate haiñ
aate haiñ aate haiñ
tum kis ko lene aate ho
aate haiñ aate haiñ
vo sāthī jo khel meñ avval
jo sāthī ta.alīm meñ aage
us ko ham le jā.eñge
apnā sāthī banā.eñge
ham to sab hī aage haiñ
ham to sab hī avval haiñ
tum phūloñ bhare jaate ho
jaate ho jaate ho
aae baadal chali hawa
jage phul sajin belen
aaj hamari chhuTTi hai
chhuTTi ke din kya khelen
hara samundar gopi chandr
bol meri machhli kitna pani
apne dil mein itni himmat
beach samundar jitna pani
koDa jamal shahi
pichhe dekha mar khai
hanste baste hansi KHushi
khelen bahnen khelen bhai
khel bhi hai ye warzish bhi
khele kude jaan banai
hum phulon bhare aate hain
aate hain aate hain
tum kis ko lene aate ho
aate hain aate hain
wo sathi jo khel mein awwal
jo sathi talim mein aage
us ko hum le jaenge
apna sathi banaenge
hum to sab hi aage hain
hum to sab hi awwal hain
tum phulon bhare jate ho
jate ho jate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.