ek haqiqat
kise marg-e-'bismil' kā ehsās hogā
vo bekas bhī thā aur ḳhud.dār bhī thā
gavārā na thī us ko zabt-e-mohabbat
numūd-e-mohabbat se inkār bhī thā
use kuchh shikāyat thī ik nāznīñ se
vo uslūb-e-duniyā se bezār bhī thā
naved-e-junūñ jis kī tarz-e-jafā thī
usī paikar-e-nāz se pyaar bhī thā
mai-e-lāla-gūñ par thī jaan us kī sadqe
vo dil-dāda-e-chashm-e-bīmār bhī thā
javānī kā aur ruup kā vo pujārī
‘urūs-e-hayā kā parastār bhī thā
vo āġhosh-e-daulat meñ paidā huā thā
magar nām-e-daulat se bezār bhī thā
thī mahbūb use 'ishq kī ḳhud-satā.ī
vo ḳhātir zarā nāz-bardār bhī thā
ye hastī thī us ke liye bār-e-ḳhātir
vo shā'ir thā dānā-e-asrār bhī thā
kise marg-e-'bismil' ka ehsas hoga
wo bekas bhi tha aur KHuddar bhi tha
gawara na thi us ko zabt-e-mohabbat
numud-e-mohabbat se inkar bhi tha
use kuchh shikayat thi ek naznin se
wo uslub-e-duniya se bezar bhi tha
nawed-e-junun jis ki tarz-e-jafa thi
usi paikar-e-naz se pyar bhi tha
mai-e-lala-gun par thi jaan us ki sadqe
wo dil-dada-e-chashm-e-bimar bhi tha
jawani ka aur rup ka wo pujari
‘urus-e-haya ka parastar bhi tha
wo aaghosh-e-daulat mein paida hua tha
magar nam-e-daulat se bezar bhi tha
thi mahbub use 'ishq ki KHud-satai
wo KHatir zara naz-bardar bhi tha
ye hasti thi us ke liye bar-e-KHatir
wo sha'ir tha dana-e-asrar bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.