diloñ meñ hamāre mohabbat jagā de
rag-o-pai se nafrat kā jazba miTā de
ḳhudāyā sabaq ektā kā paḌhā de
hameñ aaj phir bhaa.ī bhaa.ī banā de
ki āsān ho jaa.e jiinā hamārā
nigāhoñ meñ chamke sukūñ kā sitāra
har ik samt meñ aaj halchal machī hai
kahīñ bekalī hai kahīñ khalbalī hai
kahīñ aag dīvār-o-dar meñ lagī hai
kisī ghar kī buniyād meñ thartharī hai
huā hai sukūñ kā samāñ pāra-pāra
sharārat kā sulgā huā hai sharāra
sharārat ke sho.aloñ ko koī bujhā.e
junūnī dimāġhoñ ko ankush lagā.e
ahinsā kī pothī koī phir paḌhāye
tashaddud ke hāthoñ se ham ko bachā.e
jalā.e na ab koī bastī dobāra
na chhīne koī zindagī kā sahārā
hameñ phir ye ehsās koī dilā.e
koī Thiik se ye haqīqat batā.e
nahīñ farq rañgoñ meñ kuchh bhī dikhā.e
lahū ek kā dūsre se milā.e
dikhā.e ki donoñ kā hai ek dhārā
batā.e ki donoñ kā hai ik nazāra
dilon mein hamare mohabbat jaga de
rag-o-pai se nafrat ka jazba miTa de
KHudaya sabaq ekta ka paDha de
hamein aaj phir bhai bhai bana de
ki aasan ho jae jina hamara
nigahon mein chamke sukun ka sitara
har ek samt mein aaj halchal machi hai
kahin bekali hai kahin khalbali hai
kahin aag diwar-o-dar mein lagi hai
kisi ghar ki buniyaad mein tharthari hai
hua hai sukun ka saman para-para
shararat ka sulga hua hai sharara
shararat ke shoalon ko koi bujhae
jununi dimaghon ko ankush lagae
ahinsa ki pothi koi phir paDhaye
tashaddud ke hathon se hum ko bachae
jalae na ab koi basti dobara
na chhine koi zindagi ka sahaara
hamein phir ye ehsas koi dilae
koi Thik se ye haqiqat batae
nahin farq rangon mein kuchh bhi dikhae
lahu ek ka dusre se milae
dikhae ki donon ka hai ek dhaara
batae ki donon ka hai ek nazara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.