ek husn-farosh laDki ke nam
mirī jaañ go tujhe dil se bhulāyā jā nahīñ saktā
magar ye baat maiñ apnī zabāñ par lā nahīñ saktā
maiñ tujh ko chāhtā huuñ vālihāna pyaar kartā huuñ
maiñ gaatā rahtā huuñ par ye naġhma gā nahīñ saktā
tujhe apnā banānā maujib-e-rāhat samajh kar bhī
tujhe apnā banā luuñ ye samajh meñ aa nahīñ saktā
banā saktā huuñ shab ko apne bistar kī tujhe zīnat
magar din meñ tire qasr-e-hasīñ tak jā nahīñ saktā
huā hai bār-hā ehsās mujh ko is haqīqat kā
tire nazdīk rah kar bhī maiñ tujh ko pā nahīñ saktā
mire dast-e-havas kī dastaras hai jism tak tere
maiñ terī ruuh kī gahrā.iyoñ tak jā nahīñ saktā
maiñ tere ras-bhare hoñToñ ko pyārī chuum saktā huuñ
magar maiñ tere dil par aah qabza pā nahīñ saktā
tire dil kī tamannā bhī karūñ to kis bharose par
maiñ ḳhud dargāh meñ tere ye tohfa lā nahīñ saktā
mirī majbūriyoñ ko bhī bahut kuchh daḳhl hai is meñ
tujhī ko morid-e-ilzām maiñ Thahrā nahīñ saktā
maiñ tujh se baḌh ke apnī aabrū ko pyaar kartā huuñ
maiñ apnī izzat-o-nāmūs ko Thukrā nahīñ saktā
tire māhaul kī pastī kā ta.ana duuñ tujhe kyūñ-kar
maiñ ḳhud māhaul se apne rihā.ī pā nahīñ saktā
meri jaan go tujhe dil se bhulaya ja nahin sakta
magar ye baat main apni zaban par la nahin sakta
main tujh ko chahta hun walihana pyar karta hun
main gata rahta hun par ye naghma ga nahin sakta
tujhe apna banana maujib-e-rahat samajh kar bhi
tujhe apna bana lun ye samajh mein aa nahin sakta
bana sakta hun shab ko apne bistar ki tujhe zinat
magar din mein tere qasr-e-hasin tak ja nahin sakta
hua hai bar-ha ehsas mujh ko is haqiqat ka
tere nazdik rah kar bhi main tujh ko pa nahin sakta
mere dast-e-hawas ki dastaras hai jism tak tere
main teri ruh ki gahraiyon tak ja nahin sakta
main tere ras-bhare honTon ko pyari chum sakta hun
magar main tere dil par aah qabza pa nahin sakta
tere dil ki tamanna bhi karun to kis bharose par
main KHud dargah mein tere ye tohfa la nahin sakta
meri majburiyon ko bhi bahut kuchh daKHl hai is mein
tujhi ko morid-e-ilzam main Thahra nahin sakta
main tujh se baDh ke apni aabru ko pyar karta hun
main apni izzat-o-namus ko Thukra nahin sakta
tere mahaul ki pasti ka tana dun tujhe kyun-kar
main KHud mahaul se apne rihai pa nahin sakta
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.